Monday, April 21, 2025
HomeIndiaHardik Patel Ko Tamancha Marne Ki Muzammat

Hardik Patel Ko Tamancha Marne Ki Muzammat

Surendranagar: Congress mein shaamil hue Patedar reservation tehreek committee ( PAS ) ke sabiq leader Hardik patel ko aaj un ki aabadi riyasat gujrat mein ek intikhabi jalsay se khitaab ke douran stage par 1 shakhs ne tamancha mara .

Safed kurta Pyjama mein malbos per Congress aur kandhoun  ke nishaan wali patte daaley hue Hardik patel ne zila Surendar ke Budhwan taalluqa ke badalana gaon mein munaqidah congress ki  rally mein apna khitaab shuru hi kiya tha ke daadhi walay 1 shakhs ne achanak stage par aakar inhen tamancha maar diya. woh Patedar tehreek ke douran maaray gaye 14 nojawanon ke qatal ke liye Hardik patel ko zimme daar tehrate hue Rahul gandhi ( congress ) ke sath unke wabsta honay ki mukhalifat mein chalanay laga. achanak pade tamanche se hakka bakka Hardik ke hamioun ne is shakhs ko pakadhkr is ki bhi pitaayi kar di. police usay girftar karkay apne sath le gayi aur usay hospital mein daakhil karaya gaya hai .

Is waqea ka video Viral hogaya hai. tafseelaat ke mutabiq yeh shakhs jis ka naam Tarrun Gajjar hai Mehsana zila ke kari taalluqa ke jaisalmer ka rehne wala hai. police tehqiqaat kar rahi hai .

Hardik ne is waqea ke baad bhi apni taqreer jari rakhi. baad mein sahafion se unhoun ne  kaha ke yeh inhen darane ke liye BJP ki saazish hai. hamla aawar yahan ka nahi, bairooni riyasat ka hai .

yeh poochay jaanay par ke hamla ne  un par Patedar tehreek ke douran maaray gaye 14 nojawanon ki laashon par siyasat karne ka ilzaam lagaya, Hardik ne  kaha ke hamla aur ki baat ko woh sun nahi paye lekin agar usay koi narazgi bhi thi to woh baat kar sakta tha. raast tor par dehshat gard ki tarha maarna sahih nahi hai. unhon ne  kaha ke woh police ko is baray mein bazabta ittila den ge taakay mustaqbil mein unka qatal ya bada hamla honay par is ki zimma daari tey hosakay .

Congress ke senior leader  ne  usay BJP ka saazish qarar dete hue kaha ke Gujrat mein Hardik ke jalso mein Umadne wali bheed se barsar iqtedar party ghabragyi hai. doosri janib BJP ne  is waqea ki muzammat ki hai aur kaha hai ke siyasat mein is tarha cheezon ki koi jagah nahi hai. party ke leader Raju ne kaha ke pati Darus samaj mein unke 3 narazgi hosakti hai lekin is tarha ke muzahiron aur nichli satah ki siyasat ki party himayat nahi karti. unhon ne kaha ke lok sabha intikhabaat mein apni shikast hoti dekh kar congress BJP par bhi ilzaam laga sakti hai .- YTN STAFF