Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHardik Patel ki congress mein shumuliyat-kiya Gujrat ki Seats mein faida Pahuncha...

Hardik Patel ki congress mein shumuliyat-kiya Gujrat ki Seats mein faida Pahuncha Sakegi. .?

Hyderabad : Gujrat mein patedar kota agitation ke leader hardik patel ney congress ke sadar rahul gandhi, aur upa ki sadar nasheen sonia gandhi ki maujudgi mein congress party mein shamoliat ikhtiyar karli. hardik patel ney lok sabha  intikhabaat se qabal sar garam siyasat mein dakhle ke liye –apne faisle ko haq bajanib qarar diya aur kaha ke ab woh behtar andaaz mein riyasat ke chhey crore awam ke liye kaam kar sakenge. zila gandhi nagar mein adalaj gaoun ke qareeb congress ki rally mein party mein shamoliat ikhtiyar karne ke baad hardik patel ney rally ke shurka se sawal kiya ke aaya unhoun ney sahi faisla kiya hai..? jis par shurka ney haan mein jawab diya .

Is mauqe par wazeer  e aazam narinder modi ko tanqeed ka nishana banatey hue hardik patel ney kaha ke pulwama dehshatgard hamle ke baad congress ney jab yahan 28 feb ko munaqidah rally multawi kar di thi lekin wazeer e azam narinder modi uss waqt bhi mulk bhar mein ralliyoun se khitaab mein masroof they. 25 saala hardik patel ney rahul gandhi ki sataish karte hue unhe dayanat daar qarar diya. unhoun ney kaha ke loog mujh se puchhte hain ke maein ney congress aur rahul gandhi ko kiyoun chuna. mera jawab hai ke rahul gandhi imandaar hain. congress mein khandani siyasat ke baarey mein wazeer e aazam narinder modi ke ilzaam par hardik patel ney jawab diya ke agar kisi siyasat daan ka beta awam ki khidmat ke liye is maidan mein daakhil hona chahta hai to is mein koi ghalti nahi hai .

Hardik patel gujrat mein patel tabqe ko ( obc ) darjah deney ki maang ko lekar jaari agitation ke naujawan leader hain. woh patel tabqa ( patedar samaaj ) ko obc ka darja dete hue naukri aur taleem mein riservation chahtey hain. hardik  patel 20 july 1993 ko chandan nagri, gujrat mein paida hue. unke valid ka naam bharat aur valida ka naam usha patel hai. 2004 mein unke walidain –apne bachchooun ki behtar taleem ke maqsad se apne gaoun chandan nagri se das kilo meter par waqey shaher’ ‘ veer magam  ‘ chaley gaye. hardik ney chhatvi se giyarhavi jamaat tak ki taleem divya jyoti vidyalaya veer magam mein haasil ki. uss ke baad k b shah vinaye mandir se unhoun ney baarhavi paas kiya. hardik taleem ke daouraan apne  waalid ke kaam mein haath batane lagey, jo paani ke kuvaoun mein nall laganey ka kaam karte they. saal 2010 mein hardik ney sahejanand maha vidyalaya ahmedabad mein b com ki padhaai ki. college mein padhtey  hue hi unhoun ney veer magam bus stand par awaami khidmat ka aaghaz kiya. unhou ney maha vidyalaya ke talba union ke general secretary ke ohdey ke chnnao mein hissa liya aur muntakhib  hue. is liye yeh maana jaa sakta hai ke yahin se hardik patel ke siyasi safar ki shuruvaat hui. 2013 mein unhonn ney graduvation mukammal kar liya .

31 october 2012 ko hardik patel ney patedar ke nau jawanoun ki tanzeem’ ‘ sardar patel group ( sgp ) mein shaamil ho gaye. aur aik maah ke kam
arse mein hi woh veer magam unit ke saddar banaye gaye. is dauraan unhein riyasat mein patel samaaj ke maujuda halaat se waqfiyat haasil hui. unhoun ney dekha ke pateloun ko sarkari aur khaangi sector mein naukriyoun ke liye kitni mushkiloun ka saamna karna padta hai. aur patel iisanoun ko bhi apni zameen shaheri taraqqi aur sanat ke farogh ke chaltey sarkar ko deni  padti hai. is liye unhoun ney apne samaaj ke liye kaam karne ka faisla kiya .

2015 mein jab hardik patel ki bahen ko sarkari scholarship nahi mili, jabkey usaki aik dost ko kam marks par bhi ( obc ) ke riservation se scholarship mil gayi, tabh hardik ney is ke khilaaf aawaz uthanay ki soonchi. unhoun ney mahesoos kiya ke yeh reservation ki neeti to siwaye patedar samaaj ke sab ko faida pahuncha rahi hai. is liye unhoun ney’ ‘ patedaar anamath andolan samiti’ ‘ banai. tabh unhoun ney yeh saaf kahe diya tha ke keh aik ghaeir siyasi tanzeem hai jis ka sirf aik maqsad hai, aur woh hai obc ka darja  haasil karna .

Hardik  patel ney 6 july 2015 ko pahli rally wis nagar gujrat mein ki thi, jiska dawat nama unhoun ney social media par message  ke zariye  forward kiya tha, aur badi  taidaad mein loog jama ho gaye they. is ke baad hardik ney gujrat mein ralliyoun ki baadh laga di thi. aur unki taqarir ki wajah se uُnke chahney waloun ki taidaad badhne lagi thi .

2015 mein hardik patel ke bhook hartaal shuru karne ke baad police ney unhein giraftar kar liya tha, aur aayi pi si ki dafaa 151 ke tehat charge lagaya gaya. unki giraftari se poori riyasat mein tashadud bhadak uttha, aur riyasati hukoomat ko curfew lagana padha. saath hi indian army tak ki madad leni padhi thi. aur isi saal hardik ney mulk ki  doosri riyasatoun mein bhi is samaaj ke logoun se khitaab kiya aur achanak woh gayab hogaye aur jab wapas  aaye to unhoun ney yeh daawa kiya ke kuchh logoun ney unhein zabardasti pakad kar rakkha tha .

9 september 2015 ko unhoun ney’ ‘ patel nav nirmaan sena’ ‘ ke naam se aik nanzeem banai jiska ahem maqsad patedar kurmi aur gurjar ko obc mein shaamil karna aur unhein sarkari naukriyoun mein faida pahunchana  tha .
18 october 2015 ko hindustani parcham tirangey ki be hurmati mein bhi un par tanqeed ki gayi. is ke liye rajkot mein un par muqaddama darj  kiya gaya .
15 july 2016 mein unhein zamanat mili aur agley 6 mahiney ke liye riyasat se bahar aur aglay 9 mahinay ke liye mehsana  se dur rahene kaa hukum diya gaya .
waisay to hardik patel ney patedar samaj ke liye apni jaddojahad ke sath hi apni siyasi zindagi aa aaghaz kar diya tha, lekin riyasat gujrat ke intikhabaat mein unhoun ney shiv sena ke liye muhim chalaney ka faisla kiya tha. magar baad mein unhoun ney shiv sena ka saath chhodh diya aur riyasat gujrat mein congress ke liye tashhiri muhim chalayi. is dauraan woh bjp par kaafi bhaari padhey they .

Hardik  ke nazdiki  dostoun chiirag patel aur ketan  patel ney unn par patedar samaaj ke fund ka ghalat istemaal karne ke ilzamaat lagaye they aur yeh bhi kaha tha ke woh congress saddar sonia gandhi aur naaib saddar rahul gandhi se khufia mulaqaat karte hain. saal 2017 mein un ke sex tape ney media aur unkey himayatoun ko chaunka diya tha. halaanke patel ney yeh daawa kiya tha ke yeh bjp ka ganda siyasi khel hai. is tape se un ki image ko kaafi nuqsaan huwa tha .

2018 mein bhi hardik patel ke khilaaf kayi tarha ke maslan dangey bhadkaney, jaedad ko nuqsaan pahunchane  jaisay ilzamaat lagaye gaye. aur inhen jail bhi jana padha. is ke bawajood bhi hardik patel ney patedar samaaj ki falah o behbood, taleem aur reservation ke liye kaafi koshishen ki hain aur ab bhi is ke liye jamkar datey huye hain. kayi terha ke tanazaoun mein ualajh chuke hardik patel aik aisi shakhsiyat hain jinhein mustaqbil ke siyasat daan ke tor par dekha ja sakta hai. ab to unhoun ney ba zabta taur par siyasat mein dakhla le liya hai aur congress party mein shaamil ho chuke hain. kya patedar samaaj ke naujawan leader hardik patel ki party mein shamoliat se gujrat mein congress ko kamyabi haasil hogi. ..? kyunkay saal 2014 mein congress ko koi nashist nahi mili thi jabkay bjp ney 26 ki 26 seatoun par kamyabi haasil ki thi. is se qabal saal 2009 mein bi jay pi ko 15 nashistain mili theen aur congress ney 11 nashistain haasil ki thi. ab ki baar lok sabha intikhabaat mein hardik patel ki party mein shamoliat se kiya congress ko faida hoga. ..? kya hardik patel ko patedar samaaj ko taraqqi dilanay ke uُnke maqsad mein kamyabi ke liye is siyasi taaqat se faida ho sakta hai. ..? yeh dekhna bada hi dilchasp hooga .