Tuesday, April 30, 2024
HomeIndiaHardik Patel ki bhook hadtaal khatam

Hardik Patel ki bhook hadtaal khatam

Hardik Patel ne 19 roza bhook hadtaal khatam karne ke baad kaha ke Gujrat Hukoomat se hanooz mazakiraat nahi. Patidar tabqe ke liye quota aur zirayi qarza jaat ki maafi ke liye jad-o-jahed jari rahey gi.

Ahmedabad. Patidar tabqa ke liye tahaffuzaat ke jehedkaar Hardik Patel ney aaj 19 dinon baad apni ghair muayana muddat ki bhook hadtaal ko khatam kar diya halan ke un ke aur Hukoomat e Gujrat ke darmiyan Patidar tabqa ke liye quota aur zirayi qarza jaat ki maafi ke masla par koi baat cheet nahi huwi. Hardik Patel ney Patidar bradari ke leaders Naresh Patel aur CK Patel ke hathon Nimbu ka sharbat pi kar bhook hadtaal khatam karne ke baad kaha ke meri bradri ke liye quota aur zirayi qarza jaat ki maafi ke liye jad-o-jahed jari rahey gi. Hardik Patel ney Patidar tabqe ko deegar pasmandah tabqaat (OBC) Zumra ke tahet tahaffuzaat aur Gujrat ke kisanon ke qarza jaat maaf karne ka mutaleba karte huwe 25th  August ko apni rihaish gaah waqay Ahmed Nagar mein ghair muayana muddat ki bhook hadtaal ka aaghaz kiya tha. Baad azan unhon ney apne saathi Alpesh Katheria ki rehaie ka bhi mutaleba shaamil karliya jinhein Mulk se ghaddari ke ilzaam mein girftar kiya gaya tha. 25 sala Hardik ko guzishta jummay ko hadtaal ke 14 wen din sahet bigad jaaney par Hospital mein shareek karwa diya gaya tha. Hospital mein do din guzarnay ke baad woh apne makaan wapas aagaye thae aur bhook hadtaal ko jari rakha tha. Hospital mein woh mashroob le rahey thar aur Glucose chadhaya ja raha tha taham unhon ney solid ghiza ke istemaal se guraiz kiya tha. BJP ki zair qayadat hukoomat ney 4th  September ko is ehtejaj par rad-e-amal zahir karte huwe id-daa kiya tha ke Hardik ki quota tehreek siyasi muharikaat par mabni hai jis ko Congress ki pusht panahi haasil hai. Riyasti wazeer e tawanai Saurabh Patel ney tab kaha tha ke mazakiraat ke liye hukoomat ka darwaaza khula hai magar ta haal koi baat cheet nahi huwi.