Sunday, May 4, 2025
HomeTrending NewsHaramain Computerized Thermal Camera lagadeye gaye

Haramain Computerized Thermal Camera lagadeye gaye

Riyadh: Saudi Arab ke idaara umoor Haramain Sharifin ke nigran aala Abdul Rahman Al-Sudais ne HaramMaki mein Computerized Thermal Cameron ka iftitah kar diya hai. Iftitah ke baad Sheikh Al-Sudais neh hazreen se mukhtasir khitaab karte huve kaha ke HaramMaki mein kaam karne walay tamam afraad ke liye lazim hai ke wo Haram mein daakhil honay se qabal Thermal Cameron ki Screening se guzren.

Agar kisi ka darjah hararat badha huwa hai to usay Haram Maki anay ki ijazat nahi hogi balkay wo mazeed Check Up ke liye mutaliqa adare se rujoo kere. Tafseelaat ke mutabiq idaara umoor Harmen ke nigran Sheikh Al-Sudais neh mazeed kaha kisi ko mojooda halaat ke hawalay se khauf zada honay ki zaroorat nahi kyunkay khadim HaramainSharifin Shah Salman Bin Abdalaziz aur Wali Ahad mumlikat zaati tor par Haramainanay waloun ki sahet ke umoor ke hawalay se musalsal nigrani karte hain aur wo tamam mamlaat mein gehri dilchaspi rakhtay hain.

Unhoun neh mazeed kaha mujhe mukammal yaqeen hai aur is baat ka yaqeen dilana chahta hon ke rab kareem jald hi millat ku gham ki un ghadion se nejaat dela dege aur HaramainSharifin mein tuwaf o sae aur Roza ﷺ Shareef mein isi terhan Namaz bajmaat ki adaigi shuru hojaye gi aur halaat hasb sabiq jald hi mamool par aajayenge. Sheikh Al-Sudais ne mazeed kaha hamein chahiye ke mojooda halaat mein ahteyati iqdaam se nah ghabrayin jo iqdamaat kiye ja rahay hain wo sab ki hifazat aur sehat o salamti ke liye hain.

Wazeh rahay is se qabal Masjid ﷺ mein bhi Thermal Digital Cameras ki tanseeb ki ja chuki hai. Jadeed tareen Digital System ke zariye bak waqt 24 afraad ki Screening ki ja sakti hai. HaramainSharifin mein kaam karne waloun ki Screening ka maqsad hefatti iqdamaat par mukammal tor par amal karna hai kyunkay koi ek bhi mutasirah karkun doosroun ko mutasir kar sakta hai is liye ahteyati iqdamaat par amal karna har ek par lazim hai. –YTN STAFF