Monday, April 29, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebHar saal laashon ko naye malbosaat pehnanay ki anokhi rasam

Har saal laashon ko naye malbosaat pehnanay ki anokhi rasam

Hyderabad: Marhomeen se mohabbat aur un ke liye aisaal sawab ka rivaaj aur andaaz duniya ke taqreeban har qoam aur khittay mein mojood hain lekin kuch loog aisay bhi hai jo har saal August ke mahinay mein laashon ko qabron se nikaal kar inhen naye malbosaat pehnanay, Un ki pasandeeda ashya faraham karne, Cigarette noshi karwane ke ilawa un ke sath Selfie bhi letay hain aur yeh ek tehwar hai.

Ahale khanah apne murda azeezon ko un ke maqbaron se nikaal kar laashon ko naye malbosaat pehnate hain aur yeh tehwar Indonesia mein har saal August mein manaya jata hai. Is tehwar ke douran Indonesia ke bashinday apne aabao ajdaad ki roohon ke aizaz mein ek rasam ke tehat laashon ki safai aur unhen dobarah libaas pahannay ke liye jama hotay hain.

Har saal August mein janoobi Norgutoraja, Pengal, South Seleucid mein Turja baradri apne rishta daaron ke jismon ke liye dobarah libaas tayyar karti hai. Laashon ko kafin se nikaal kar inhen saaf kiya jata hai, Un ke sath baat ki jati hai aur yahan tak ke unhein Cigarette bhi pilayi jati hai. Turja qoum mout ke rasomaat ko zindagi ka sab se bada jashnn samjha hai jo yeh samajte hain ke zindagi aur mout ke darmain talluq laa-mehdood hai. Har saal khandan ke afraad apne azeezon ki lashain baher nikaltay hain, Qabron ko saaf karte hain, Laashon ko naya libaas pehnate hain aur un ke sath baat cheet karte hai.

Ahale khanah aksar marnay walon ko maatam karte hain aur mahino, Kabhi kabhi to saloon tak un ki laashon ko ghar mein rakhtay hain. Yeh rivayet Turja tabqa ki saqafat mein jakdhi huvi hai halaank wo haqeeqat mein ek Muslim aksriti mulk mein rehne wali Protestant Christian baradri hai. Yeh haqiqit bhi heran karne wali hai ke jab azeezon ki mout hoti hai to afraad khandan laash ko mahino aur kabhi kabhi to saloon apne gharon mein ya Tonkkin mein rakhtay hain jo ek makhsoos Emarat hai jahan murda afraad ke ghar banay hue hain.