Monday, May 20, 2024
HomeIndiaHar Musalman Hindustani shehri hai: Rajnath

Har Musalman Hindustani shehri hai: Rajnath

New Delhi: Jab Modi kapdoun se pehchanney bayan den, Wazeer e dakhla Delhi Assembly ke intikhabi nataij ko Shaheen Bagh muzahira ka jawab bitane ki koshish karen, Wazeer mumlikat jab BJP ki mukhalifat karne waloun ku gaddaroun se tabeer karkay goli maarny ke liye uksaye, Rukan parliament Shaheen Bagh ke par aman muzahireen ke talluq se kahin ke wo qatal karen ge aur baho baityoun ki esmatlotenge, BJP ka ek umeed waar voting ke din ko Hindustan muqaabla Pakistan betaye, Is saaray mahol mein agar mulk ka wazeer difaa ye kahe ke un ki party ko nafrat phailakar haasil ki gayi jeet qubool nahi to is se hukmaran jamaat mein tazaad bhi nazar aata hai aur umeed bhi jaagti hai.

Wazeer difaa Rajnath Singh ne Delhi ke Adarsh Nagar mein ek intikhabi jalsa se khitaab karte hue mulk ke Musalmanoun ko yaqeen dilane ki koshish ki hai ke shehriat tarmeemi qanoon se mulk ke kisi bhi shehri ki shehriat mutasir nahi hogi. Unhoun ne kaha hum aisi jeet nahi chahtay jo nafrat ki bunyaad par haasil ki gayi ho. Agar hum jeet bhi gaye to bhi hamein aisi jeet qubool nahi. Unhoun ne apne khitaab mein kaha ke Shaheen Bagh mein neye qanoon ke khilaaf muzahira ho raha hai aur kuch loog musalmanoun mein un ki shehriat khatam hone ka khauf phela rahay hain.

Is waqt jab Delhi intikhabaat mein Shaheen Bagh markazi mauzo ban gaya hai aur baqi tamam masail peechay chhuut gaye hain is waqt wazeer difaa ka ye kehna ke mujhe nahi maloom ke aap hamein vote denge ya nahi lekin meri aap se ek darkhwast hai ke aap hamari niyat par shak nah karen. Mulk ke wazeer difaa hone ki hesiyat se mein aap ko yaqeen dilaata hon ke mulk ka har musalman hindustani shehri hai. Shehriat khatam hone ko bhool jayen. Mein yaqeen dilaata hon ke kisi bhi hindustani musalman shehri ko chhoo nahi sakta.

Loogoun ka sawal hai ke wazeer difaa ka bayan kiya BJP ka neya harba hai ya wo mojooda mahol se naraaz hain. Wazeh rahay Rajnath Singh party ke qadavar rehnumaon mein se ek hain aur jab wo party ke sadar they is waqt hi Narendra Modi iqtidaar mein aeye they lekin is ke baad se un ka qad party mein kam hota gaya hai aur wazeer e dakhla Amit Shah ka qad party mein badhta gaya hai. Un ke is bayan ki wajah un ki narazgi bhi ho sakti hai. Delhi mein 8 Feb ko Assembly intikhabaat hain jahan 3 partiyoun ke darmain muqaabla hai jis mein BJP, Aam Aadmi Party aur Congress shaamil hain. –YTN STAFF