Mumbai : Mashoor film saaz Hansal Mehta bollywood badshah Shahrukh Khan ko le kar film banana chahte hain. shaheed, city light, aur Meerut aur Samreen jaisi nayaab filme bananay walay national award Yafta Hansal Mehta Shahrukh ku lekar film banana chahtay hain. woh shuru se hi Shahrukh ki adakari ke qaail rahay hain aur inhen behtareen adakar mante hain. Hansal Mehta ney kaha ke woh Shahrukh ke sath koi romanvi film nahi banayenge balkay aisi koi film banayenge jo Shahrukh ki ab tak ki bani Shabeeh se bilkul alag ho.
Hansal Mehta ney kaha mein kabhi bhi brand value ke baray mein ziyada nahi sochta. mere liye kahani aur adakar bohat ziyada maienay rakhtay hain. aaj ke tamam sitaron mein mere sab se Aziz adakar Shahrukh Khan hain, mujhe woh bohat ziyada achay lagtay hain. mein Shahrukh ke sath kaam karna chahta hon. kabhi koi behtareen kahani mil jaye, to baat ban jaye. ab yeh mauqa jab mileyga, jab ka tab hoga hi. pehlay Shah rukh ko kahani sunaounga agar inhen kahani pasand aati hai aur iske baad woh mere sath kaam karna chahainge tab mein Shahrukh ko lekar zaroor film banaunga. mein Shah rukh ke sath jab bhi koi film banunga un ko ek dam alag Shabeeh mein paish karoonga . –YTN STAFF