Monday, April 21, 2025
HomeSliderHamloun ke baad Aramco ki haqeeqi taaqat duniya ke samnay aayi

Hamloun ke baad Aramco ki haqeeqi taaqat duniya ke samnay aayi

Riyadh : Aalmi satah par is waqt Saudi arab aur Iran ke darmiyan kasheedgi Aramco par hue drone hamlay mauzo behas hain aur aalmi tel mandi mein eendhan ki badhti qeematon ne aam aadmi ko pareshan karkay rakh diya hai aur har din guzarte halaat par har aam khas ki nazrain markooz hain.

Saudi arab ki difai taaqat par sab ki tavajja markooz hai aur har koi yeh dekhnay mein masroof hai ke Saudi arab Aramco ki tel sarbarahi ko kis tarha mutasir honay nahi dega.

Mahireen ka maanna hai ke Saudi arab mein tel ki tansibat par haliya Hamloun ke hawalay se mumlikat ke iqdamaat ne duniya mein tel ki sab se badi company Aramco par aalmi mandi ke etemaad mein izafah kar diya hai.

Mahireen ke mutabiq is tarha ki soorat-e-haal ke nateejay mein paeda honay walay bohraan par qaboo panay ke hawalay se Aramco ki salahiyaton par itminan mazeed gehra hogaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq Washington mein khaliji mumalik ke umoor ke maahir ne kaha hai ke irani hamlay ke baad Aramco company ne mutadid ahdaaf ko yakheeni banaya hai. is mein pehla nishana petrol se mutaliq zimmedaran ke radde-e-amal ka waqt hai.

Caraseek ke nazdeek Aramco ne is tarha ke bohraan se nimatnay ke silsilay mein taizi se jawab dainay ki salahiyat ka izhaar kiya. iske alawa company ne mutaliqa maloomat ko sarmaya karon aur mubasireen ke samnay pursukoon aur itminan bakhash andaaz se paish kya hai.

Is lehaaz se Aramco company mein bohrani soorat-e-haal se nipatne ki salahiyat intehai muasar rahi aur company ki taaqat un Hamloun ke baad zahir hui. unhon ne kaha ke company apne tamam agents ko mutala rakhnay ke liye bhi koshan rahi. yeh tamam tasarufat ek Aala darjay ki bain ul aqwami company ke hain. –YTN STAFF