Hyderabad: Subah subah jab aankhh maltay hue hum Twitter ke paighamaat par sar sari nazar daal rahay they to hamari nazar Telangana ke TRS media Convener Y Sathish Reddy ki Twit par padi jis ke baad hum ek be sakhta chhalang laga kar apne bistar se allag hogaye. Ye Twit hamaray liye 440 wala bijli ka chatga saabit huwa.
Hamari fikar kisi namaloom shakhs ya phir ghair maroof idaray ke liye nahi thi balkay 56 inch choday seenay walay hamaray har dil Aziz wazeer-e-azam Narendra Modi ke liye hai. Waisay to har koi Modi ki fikar karta hi hai jis ka wazeh saboot Sathish Reddy ka Twit bhi jis mein unhoun ney halaan ke riyasat mein mukhalif party ke siyasi qayed honay ke bawajood Modi ki fikar ka tazkara kiya hai.
Saaray Hindostanyon ko ab wazeer-e-azam Narendra Modi ki fikar satanay lagi kyunkay Modi duniya ke wo wahid Wazeer-e-azam hain jinhon ny sab se pehlay corona ki waba ko khatam karne ke liye akhtraay tareeqa ikhtiyar kiya tha. Saari duniya aur khaas kar America, Bartania, France, Germany ke ilawa khaleeji mumalik mein Saudi Arab, UAE ke sath Australia aur New Zealand sab hi coronavirus ke duniya par hamlay ke baad is se muqaabla karne ke liye riwayati aur sadiiyon qadeem tibbi tareeqon ko ikhtiyar karte hue Libratory ki 4 dewaron mein nah sirf khud ko qaid karte hue corona ki dawa tayyar karne mein masroof they balkay wo apna qeemti waqt barbaad karre they, Todosri janib Hindostan ke bahadur, Be baak, Nidar Wazeer e Azam Modi ne apni awam ko shaam ke auqaat be khauf hokar gharon ki chaton, Mehdanon aur sadkon par nikal kar corona ko bhagnay ke liye taali aur ghanti bajanay ka naya hathyaar diya.
Hindustani awam ke hathon mein ghanti aur mom batii thama kar inhen be khauf bananay walay Wazeer-e-azam sabhi ke har dil-azaiz siyasi leader hain to ye bhala kaisay ho sakta hai ke un ki sehat ki fikar Crore Hindostanyon ko nah ho. Hindustani awam ku corona ke khilaaf nidar bananay ke liye un ke hathon mein ghanta thama dene walay ( hamara matlab thaali aur taali hai ) Wazeer-e-azam to awam se bhi ziyada nidar aur corona ke khilaaf sipahh salaar ka kirdaar ada karne mein ziyada dilchaspi rakhtay hain, Ye hi wajah hai ke unhoun nay corona ke is bohraan mein bhi waba se Hindostan ko mehfooz. Kyunkay Modi wo raaz jantay hain jo awam nahi jantay kyunkay awam ke samnay corona ka bohraan, Mulazimaton ke khatam hojane ka toofaan, Maeeshat ki tabahi, Sahet ke shobay mein kamiyan, Government dawakhanon ki zaboon haali, Rozanah apne azeezon ko mout mein mun mein sota huwa dekna ke manazair hain jabkay wazeer-e-azam Narendra Modi jantay hain ke bohraan se ziyada Ram Mandir ki sang bunyaad ki taqreeb kitni ahem hai aur is mein posheeda raaz ko un ki teesri aankhh dekh chuki hai.
Ram Mandir ki sang bunyaad ki taqreeb mein shirkat mein wo itnay mehv they ke inhen apni sahet aur zindagi ki parwah bhi nahi thi ke unhoun ne is taqreeb mein khud ko oopar walay ke hawalay karte hue sirf Face Mask ka hi istemaal kiya jabkay samaji faaslay ko shayad wo bhagwan ki mohabbat mein bhool gaye they.
Ab ye khabar jab manzar aam par aayi hai ke is taqreeb mein jo sadarat ki kursi par mojood they un se Coronavirus ne mulaqaat karli hai. Coronavirus un dinon Ram Mandir Bhoomi poocha taqreeb mein shareek Ram Mandir Trust ke sadar Mahant Nritya Gopal Das ka maheman hai.
Waisay hum sabhi jantay hain ke coronavirus ka fi khuddar qisam ka maheman hai wo kisi bhi maizban ke sath ziyada din nahi rehta aur chand din mein hi rukhsat hojata hai lekin tanhai ke douran agar koi apni mohabbat aur shandaar maizbani se is ka dil jeet laita hai aur usay mazeed kuch dinon ke liye ruknay ki darkhwast karta hai to corona chunkay ek maizban ke paas ziyada din nahi rukta lekin maizban ki mohabbat ka sila wo zaroor deta hai aur inaam-o-ikram ke tor par wo is maizban ko apne sath hi leker doosri duniya ki sair ke liye agay badh jata hai. Maizban jab Coronavirus ke sath doosri duniya ki sair par jata hai to wo is sair mein itna magan hojata hai ke usay is duniya se phir rishta banaye rakhnay mein koi dilchaspi nahi rehti.
Ye hi wajah hai ke ab jabkay Ram Mandir Bhoomi pooja mein shareek Ram Mandir Trust ke sadar Nritya Gopal Das corona se mutasir ho chukay hain aur is taqreeb mein har dil-azaiz Narendra Modi bhi nah sirf shareek they balkay wo bhagwan ki mohabbat mein itnay doob chuke they ke inhen is taqreeb mein ban bulaye maheman corona yaad nahi raha aur wo masharti faasla barqarar rakhna bhool gaye jis ki wajah se awam mein un ki sahet ke liye ek tashweesh payi jati hai.
Wazeer-e-azam Modi chunkay saari duniya mein ke maqbool tareen qaideen mein shumaar kiye jatay hain aur jo koi inhen ek baar dekhta hai wo un ka deewana hojata hai aur baar baar un se mulaqaat ko apne liye aizaz samjhta hai jabkay bairooni mumalik mein to un ki maqboliat aur ziyada batai jati hai lehaza kahin China se anay wala maheman corona hamaray Wazeer-e-Azam ka deewana nah hojaye aur baar baar un se mulaqaat ki zid nah kar bithe ye hi wo wajah se jo hamein pareshan kar rahi hai, Kyunkay hamaray Wazeer-e-Azam ko rozaanh kayi kayi ghantay bena ruke Ram Mandir ki taamer jaisay kayi ahem kaam anjaam dainay hotay hain to wo kis terhan is cheeni maheman corona ki maizbani kar saken ge.
written by : Huzaifa Arqam