Monday, October 14, 2024
HomeSliderHamas aur Israel ka sarhadi tashadud jung bandi par ittafaq

Hamas aur Israel ka sarhadi tashadud jung bandi par ittafaq

Gaza City: Hamas aur Israel ne teen hafton ke sarhadi tashadud ke baad Gaza ki patti mein jung bandi par ittafaq kiya hai. Fariqain ne October 2018 mein Misar, Qatar, Aur aqwam Mutahidda ke zareya honay walay ek muahiday ki sharait par amal karne ka ehad kiya tha. Mubasireen ke bamujab is muahiday se Israel ki tawajah is mulk mein coronavirus ki waba se ladnay par markooz hogi jis mein ab tak 117, 241 waqeat record kiye ja chukay hain.

Jung bandi ke elaan ke foran. Baad jari kardah ek bayan mein Gaza mein Hamas ke siyasi daftar ke sarbarah Yahya Sinwar ney kaha hai ke yeh moahida Gaza par izafi aur Israeli jarhiyat ko roknay mein muawin saabit hoga. Hamas ney mazeed kaha ke Gaza mein corona wabai amraaz ke asraat ko khatam karne ke mutayed mansobon ka jald elaan kiya jaye ga. Jung muahiday ke baad Israel ney wahid tijarti sarhad dubara khol diya jis ke zariye samaan aur Fuel Carom Shalom ke Enclave mein daakhil ho saktay hain jahan teen haftay qabal Fuel ki farahmi par pabandiyan ayed kar di gayeen, Jis ke nateejay mein Gaza mein bijli ki katoti hogayi thi.

Israelis ny samandar mein 15 samandari Mile ( 28 kilometer ) ke faaslay taq mahi gery ( Fishing ) ko dobarah shuru karne ki ijazat di. Gaza mein groups ny Israeli baradrion mein Rocket aur ghabaron ki launch band karne aur raat ke ehtijaj ko khatam karne par ittafaq kiya. Samjha jata hai ke Hamas ke ohdedar bunyadi tor par 2018 ke muahiday ki sharait ki wapsi aur Regret Return March ki sar garmion ko moattal karne ka mutalba kar rahay hain. Is waqt un samjhoton mein Gaza mein bijli ki farahmi ke bohraan ko hal karne, Airs border crossing par sanati zone ke iftitah, Rozgaar ke mawaqay peda karne, Aur baraamdaat par pabandion mein narmi ke silsilay mein Qatar ke zareya maali eaanat faraham karne walay ahem mansoobay shaamil they. Hamas ke Political Bureau ke rukan Osama Hamdan ney kaha muzahimat Scoring ke marhalay mein hai.

Unhoun ne mazeed kaha ke muzahmati garohoon ki qayadat ek aisay muahiday ke husool mein dilchaspi layte hai jis ke zariye hamaray awam corona ke wabai amraaz ka muqaabla kar saken ge. Israeli umoor mein maahir kalm nigaar Adnan Abu Aamir ne kaha ke yeh moahida fariqain ke liye ahem tha lekin dono mein se kisi ki bhi kamyabi nahi hai.