Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderHamari zindagiyan khatray mein na dalain

Hamari zindagiyan khatray mein na dalain

Khiladioun ka Tokyo Olympics ke muntazmeen ko jawab
Tokyo: Duniya bhar mein Coronavirus ke sabab kheloun ke muqablay mansookh honay ke bawajood Olympics ke ineqad ke hawalay se koi hatmi elaan nah kiye janay par Athletes ne International Olympics Association par shadeed barhami ka izhaar kiya hai. Olympics ka ineqad rawan saal Japan ke dar-ul-hukoomat Tokyo mein hona hai aur 24 July se duniya ke sab se baday kheloun ke muqablay muqarrar hain, Taham duniya bhar mein kheloun ke muqablay mansookh honay ke bawajood abhi tak Olympics ke iltiwa ke hawalay se koi elaan samnay nahi aaya jis ke sabab duniya bhar ke Athletes be cheeni ka shikaar hain.

Duniya bhar ke 150 se zayed mumalik mein Coronavirus phelnay ke sabab kayi mulkoun ne hifazati iqdamaat ke tehat Lockdown kardiya hai aur baday baday khiladi Virus ke phelao ku roknay aur bachao ke liye hifazati tadabeer ke tor par Quarantine mein chalay gaye hain. Taham is khatarnaak sorat e haal mein bhi Olympics ke ineqad ke hawalay se koi elaan nah kiye janay ke sabab Athletes apni jaan khatray mein daal kar Training karne par majaboor hain. Unan ki Olympic Champion Katerina Stefanidi ne kaha ke International Olympic Committee hamari zindagioun ko khatray mein daal rahi hai kyunkay is sorat e haal mein hamaray liye Training namumkin hogayi hai.

Is ke jawab mein International Olympic Committee ne apne bayan mein kaha ke ye ek ghair mamooli surathaal hai jis ke liye ghair mamooli hal ki zaroorat hai, International Olympic Committee khail ki shafafiyat aur Athletes ki sahet ko yakeeni banatay huve ek aisa hal talaash karne ki koshish kar rahi hai ke jis se Athletes par kam se kam manfi asraat muratab hon. International Olympic Committee ne kaha ke mojooda surathaal mein koi bhi hal behtar nahi. 2016 ke Rio Olympics mein Gold Medal jeetnay wali Athletes Katerina Stefanidi ne mazeed kaha ke International Olympics Committee hamari, Hamaray ahl-e-khana aur awam ki sahet ko khatray mein daalna chahti hai, Aap aindah 4 mah mein nahi balkay is waqt hamari zindagioun ko khatray mein daal rahay hain. 27 sala World Champion Johnson Thompson ne kaha ke wo France mein Lockdown ke sabab ab wahan se wapas lout rahi hain taakay Bartania mein Training kar saken.

Duniya bhar mein sangeen halaat ke pesh e nazar jahan tamam kheloun ke muqablay mansookh kar diye gaye hain wahein Olympics muntazmeen ab bhi aalmi kheloun ke ineqad ke liye pur-umeed hain lekin Johnson Thompson ne kaha ke International Olympics Committee ki hidayat intahi pareshan hon kunke wo Athletes ki Training ke liye hosla afzai kar rahi hai lekin hukoomat ne Gyِm, Awaami maqamat aur Training ki jaghoun ko band kar ke hamein ghar mein rehne ki hidaayat ki hai. Mein khud ko dabao mai mehsoos kar rahi hon kyunke mujhe apne roz maraah ke maloomat barqarar rakhtay huve Training karni par rahi hai jo is waqt namumkin hai.

International Olympics Committee ki ek rukan ne bhi tanqeed ka nishana banatay huve kaha ke insaaniyat ko darpesh mojooda bohraan ki sorat e haal mein Olympics ki Governing Body ka faisla ghair zimma daarana hai. International Olympics Committee ne apne bayan mein kaha ke Athletes apni poori qowat ke sath Olympics ki tayari jari rakhen ge. 2019 ki World Championship ki 5 hazaar meter ki daud mein Bartania ki numaindagi karne wali Athlete Jessica ne kaha ke hum kis terhan se apni tayyariyan jari rakh satke hain, Koi hamein bataye ga ke halaat kab tak mamool par ayenge. Olympics mein takreeban 11 hazaar Athletes ki shirkat mutawaqqa hai aur 25 August se shuru honay walay Paralympics mein 4400 Athletes ki shirkat ka imkaan hai. Yaad rahay ke 1896 mein shuru honay walay jadeed Olympics ko sirf jung ke dinoun mein mansookh kiya gaya aur chand mawaqay par mukhtalif mulkoun ke Boycott ke bawajood Olympics munaqqid huve. –YTN STAFF