Hyderabad. Sadar All India Majlis Ittehad ul Muslimeen wo Rukn Parliament Hyderabad Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke agar hamaray galay bhi kaat dyie jayen tab bhi hum Musalmaan hi banay rahen ge. Haryana mein aik Musalmaan ki Daadhi jabran mundhwa diye jany ki it-tila-aat ke tanazur mein Barrister Owaisi ka yeh bayan samnay aaya hai. Barrister Owaisi ne itwaar ku markaz mein barsar iqtedaar BJP ko challenge kya ke agar jurraat ho to Mizoram aur Jammu and Kashmir mein National Register of Citizen (NRC) ke tehat survey karwaye. Sabiq Sadar Majlis janab Abdul Wahid Owaisi ki barsi ke mauqa par Ahmed Nagar mein aik jalsa aam se khitaab karte hue Assam mein NRC ke musavvida fehrist se 40 lakhs afraad ko madakhilatkaar qarar dete hue kharij kardainay par Sadar BJP Amit Shah par zabardast tanqeed ki aur BJP hukoomat ko challenge kya ke deegar riyaston mein bhi aisa hi kar dikhaay. Unhon ne media reports ke hawala se kaha ke Tripura ko maujooda Chief Minister 1971 mein Bangladesh mein paida hue they. Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke jab oppostion parties, Wazeer e Azam Narendra Modi ke khilaaf tehreek ada etemaad paish ki theen us waqt Sadar Congress Rahul Gandhi ne Narendra Modi ke galay lag kar BJP par etemaad ka izhaar kya. Barrister Asaduddin Owaisi ne tanzia andaaz mein kaha ke do mard aik dosray se galay miley chunkay un ke gharon mein koi aur nahi hai. Sadar Majlis ne ilzaam aayed kya ke 2014 mein BJP ke Iqtidaar mein anay ke baad hujumi tashaddud mein 86 feesad izafah huwa hai aur mutasireen mein 96 feesad Musalmaan hain jinhein gaau kashi ke naam par qatal kya gaya. Gaaye ki raksha ke naam par Musalmanoon ko nishana banaya ja raha hai aur Wazeer e Azam khamoshi ikhtiyar kiye hue hain. Unhon ne kaha ke hamaray galay bhi kaat dyie jayen bhi to hum Daadhi badhana nahi chodenge. Yeh Musalmanoon ka dastoori haq hai. Unhon ne kaha ke dobarah Iqtidaar panay ke liye BJP, 2019 ke intikhabaat ka saamna nafrat aur firqa parasti ke maahol mein karna chahti hain. Jalsa se Majlis Ittehaad ul Muslimeen ke Arkaan Assembly aur mazhabi rehnumaoon ne bhi khitaab kya.