Sunday, April 28, 2024
HomeSliderHalqa Lok Sabha Nizamabad mein sab se ziyada EVMs Machino ka istemaal,...

Halqa Lok Sabha Nizamabad mein sab se ziyada EVMs Machino ka istemaal, ban sakta hai Guinness World Record

Hyderabad: Mulk ki 20 riyaston mein jumla 91 Lok Sabha nashiston ke liye aaj 11 April ko pehlay marhala ki raye dahi ho rahi hai. Is phelay marhala mein riyasat Telangana ki 16 Lok Sabha nashiston ke liye raye dahi ho rahi hai.

Telangana ke Nizamabad Lok Sabha halqa mein sab se ziyada Electronic Voting Machine (EVMs) ka istemaal kiya ja raha hai. Jo Guinness World Record bana sakta hai. Is halqa se Wazeer e Aala Telangana K Chandrashekhar Rao ki Dukhtar K Kavitha doosri baar intikhab lad rahi hain. Is halqa mein 185 Umeedwaar maidan mein hain. Jis mein ziyada tar hukoomat se naraaz Kisaan shaamil hain. Umeedwaron ki itni kaseer tadaad ko dekhte huwe is halqa mein har polling both par 12 EVMs machinono ka istemaal kiya ja raha hai.

Is halqa mein deegar halqon mein raye dahi shuru honey ke baad aik ghanta der se yani subah 8 bujey shuru huwi. Cheif Election Officer Rajat Kumar ney bataya ke halqa Nizamabad nah sirf sab se ziyada umeedwaron ke liye record banaya, balkay itni badi tadaad mein EVMs machinono ke istemaal se Voting karaye janay wala Mulk ka pehla intikhabi halqa ban gaya hai.

Har aik Polling Both par aik Control Unit ke sath ya ziyada se ziyada chaar EVMs ko munsalik kiya jata hai. Jis ke Bar aks Nizamabad ke 1,778 polling Boths mein aik Control Unit ke sath 12 EVMs machinono ko joda gaya hai.

Haldi aur laal jawar ki munasib qeematon ki maang ko leker naraaz 178 Kisanon ney namzdgiyan daakhil ki theen. Jo Election Commission ke liye challenge ban gaye hain.

185 umeedwaron ki tadaad ko dekhte huwe ye ghoor kiya ja raha tha ke Election Commission ko Ballout Papers ke zariya Voting karwana hoga. Kyunkay aam EVMs machinono mein sirf 64 naamon ko hi arrgest adjust kiya ja sakta hai.

Halaan k  Poll Panel ney Electronics Corp of India Ltd ki janib se tayyar kardah taaza tareen technology ke sath EVMs machinono ka istemaal karne ka faisla kiya. Awaami shoba ki Company se kaha gaya tha ke woh fori tor par 26,820 EVMs
2, 240 Control Units, aur 2,600 VVPAT M3 faraham karne ko kaha gaya tha.

Intekhabi ohdedaron nay Guinness World Record ke muqami numaindon ko EVMs machinono ki record tadaad ke istemaal ke baare mein ittela di gayi hai. Woh jumaraat ko ya baad mein is intekhabi halqa ka dora kar satke hain, kyunkay nataij ka elaan honay ke 6 mahinay baad taq EVMs ko Strong Rooms mein rakha jaye ga.

Intekhab ladnay walay kisanon nay inhen intekhabi nishaan milnay mein diri par intikhabaat multawi karne ki maang karte huwe High Court ka darwaaza khitkhitaya tha. Magar adalat nay intekhabaat ko roknay se inkaar kar diya tha. Baad mein kisanon nay intekhabi muhim ke aakhri din aik really bhi nikaali aur badi Partiyon ko sabaq sikahnay ka faisla kiya.

Nizamabad ke mazkoorah Lok Sabha halqa mein 3.73 lakh kisanon sameit 15.53 lakh se ziyada raye dahinde hain. Telangana ke Wazeer e Aala o Telangana Rashtra Samithi ke sarbarah K Chandrashekhar Rao ki Dukhtar K Kavitha doosri baar is halqa se intikhab lad rahi hain. Jabkay Congress ney do baar rukan parliment Mradhu Yashki Goud ko maidan mein utaara hai, Aur D Arvind BJP ke ticket par intikhab lad rahay hain.