Tuesday, May 6, 2025
HomeHyderabadHajjamoun ne sadiiyoun qadeem andaaz apna liye, Gharoun par pahonch kar hajamat...

Hajjamoun ne sadiiyoun qadeem andaaz apna liye, Gharoun par pahonch kar hajamat karne lagey

Hyderabad: Halaat jaisay bhi hon zindagi chalti rehti hai aur waqt guzarnay ke sath ensaan makhsoos aur mushkil tareen halaat mein zindah rehne ke tor tareeqay seekh hi jata hai ab jabkay saari duniya mein Lockdown hai aur zindagi mushkil honay ke sath yomiya umoor ki anjaam dahi bhi mushkil tareen hochuki hai to awam ney is mushkil tareen halaat mein bhi yomiya zindagi ke umoor ki anjaam dahi ke liye mutabadil hal talaash karliye hain. Dafatir ke loog gharoun mein baith kar daftaroun ka kaam kar rahay hain, Schools ke bachay Online Classes mein shirkat kar rahay hain aur tajir ghar se hi Phone par dukanoun ka samaan farokht kar rahay hain. Aur to aur sabzi, Phal aur ghar ka sara Ration bhi ek Phone Call par hi darwazoun par poanch raha hai jabkay Hyderabad mein Beryani aur Mandi bhi ghar ki dehleez tak pohanchai jarahi hain.

Lekin guzashta chand haftoun se gharoun mein rehne ke baad jis cheez ki sab se ziyada pareshani thi wo thi baal katwane ki, Kyunkay Coronavirus ke phelao ko roknay ke liye hukoomat ney hajjaam ki tamam dukanain band kar rakhi hain. Kuch logoun ney to apni shareek hayaat, Walida, Behan ya Bhai ki madad se apni hajamat khud hi kar li jin mein hindustani Cricket Team ke Captain Virat Kohli ney apni ahliya Bollywood adakara Anushka Sharma se baal katwaye jabkay kayi aur naamwar khiladioun aur Bollywood Starts ney bhi ye hi tareeqa ikhtiyar kiya hai, Lekin jin ke ahal khanah is kaam mein madad ki mahaarat nahi rakhtay inhen baal katwane ke liye kaafi tashweesh la-haq thi.

Aisay mein jahan baqi sab shobo ke afraad ney pabandioun ke is daur mein Online aur Home Delivery ka hal nikala, Wahan hajjaam bhi peechay nahi rahay aur unhoun ney bhi ek Talephone par Home Service ka aaghaz kar diya hai. Dar haqeqat hajjaam ki Home Service kisi bhi Home Delivery se ziyada qadeem hai. Pichli sadi tak gaon dehatoun mein ye rivaaj raha hai ke hajjaam gharoun mein ja kar logoun ke baal kaatetay aur dadhiyan mondahte they lekin zindagi ke badalty andaaz aur tijarti tareeqoun ke baad nah sirf jagah jagah hajjaam ki dukanain khul gayeen balkay ab to jadeed Air Conditions Salon aur Parlors mein hi baal katwane ko tarjeeh di jati hai.

Jab hukoomat ney ye tamam Salon aur hajjaam ki dukanain band kee to hajjaam ney bhi awam ke purzor mutalbe par apna ye qadeem kaam dobarah shuru kar diya kyunkay bohat se loog baher ja kar baal katwane ki bajaye ghar par hi ye kaam nimtany ko tarjeeh day rahay hain, Wo ghar se baher nikalne mein Infection ke badastoor khatray se bachna chahtay hain. –YTN STAFF