Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadHajj sirf Musalmanoun ke liye khaas 'Qabuliat ke liye pak maal' ikhlaas...

Hajj sirf Musalmanoun ke liye khaas ‘Qabuliat ke liye pak maal’ ikhlaas aur Akhlak-e-Sharat

Reyasti Hajj Committee ka pehla tarbiati ijtima ‘Moulana mufti khaleel Ahmed’ Moulana Abed Rasheed Talah aur Professor SA Shukur ka khitaab

Hyderabad: Moulana Mufti Khaleel Ahmed Sheikh ul Jamiya Nizamiya neh kaha ke Hajj gunaaho ki maffi ka bara zariya hai. Agar kisi neh Hajj kiya aur is ka Hajj maqbool huwa to woh Gunaoo ney se aisay pak hojaye ga ke aaj hi maa ke pait se peda huwa. Aik chhoti si raqam hum apni zaat par kharch karkay itni badi Saadat haasil kar lete hain. Telangana State Hajj Committee ke zair e ihtimaam High Take Garden Malakpet mein Aazmin e Hajj ke phelay tarbiati ijtima se ba-hasiat maheman khusoosi mukhatib karte huwe unho neh na neh Hajj aur Umra bayan kiye aur Aazmin karaam ko mahswara diya ke woh namaz aur deegar faraiz ki pabandi karen.

Hajj aik muqaddas farz hai aur is mein Allah aur Rasool e kareem ki Raza ko muqaddam rakhna chahiye. Hajj ke qubool honay ki sharat yeh hai ke hamara maal pak ho ‘Hamaray andar ikhlaas ho aur hamaray ikhlaq achay hon’ zabaan par qaboo rahay’ zabaan ki hifazat karen’ sabar se kaam lena hoga. Musalmanoon ko chahiye ke woh rizaq halal ka ihtimaam karen. Allah neh insaan aur jin ko apni ibadat ke liye peda kiya aur is mein kisi aur makhlooq ko shaamil nahi kya. Farishtay hamesha Allah ki itaat mein rehtay hain. Hajj makhsoos maqamat par aur makhsoos dinon mein hota hai. Hajj Sirf musalmanoon ke liye khaas hai ‘Doosri qoumoun mein Hajj ka tasawwur nahi hai.

Habkay Roza Namaz waghera kisi nah kisi shakal mein dosray Mazahab mein mojood hai. Special Officer Telangana State Hajj Committee Professor SA Shukoor neh sadarat ki unhon neh Hajj ke intizamaa par tafseeli roshni daali aur aazmeen se khuwahish ki ke woh Hajj Committee ke tarbiati ijitmaat mein shirkat karte rahen kyunkay har hafta nayee  nayee Hidayat aati rehti hain. Pheli waiting list mein 308 darkhwast guzar muntakhib huwe hain. Green Zumra ka naam badal ke NCNT zone rakha gaya hai ‘jahan nah pakwaan ki ijazat hogi aur nah hi tansport ki sahoolat hogi. Unhon neh bataya ke Riyal ke Rate par aakhri qist ka taayun hota hai. Hyderabad Ambarkishan pointe se aur  teen reyaston ke aazmeen rawana hotay hain aur tawaqqa hai ke is martaba Maharashtra ke aazmeen ki bhi rawaangi hogi. Saudi Arab ke Prince neh Hindustan ke haliya dora ke mouqe par mazeed 25,000 nashistain faraham karne ka elaan kiya hai lekin Sarkari tor par abhi Allotment nahi huwa hai jab bhi yeh nashistain mileingi to hamari riyasat se waiting list ke mazeed aazmeen muntakhib honge.

Aazmeen kisi darmiyani Aadmi par bharosa nah karen. Hafiz o Qaari Mohammad Nayeem Ahmed ki Qiraat Kalaam pak aur Moulana Hafiz Mohammad Ansar Anwar ki Naat e shareef se ijtima ki karwai ka aaghaz huwa. janab Farooq Hashmi neh Eheraam ki sharait bayan kee aur aur Eheraam bandhney ka amli muzahira kiya. Khatoon aazmeen ki kaseer tadaad bhi is tarbiati ijtima mein shareek thi jin ke liye mutasila A One Function Hall mein alehda intezam kiya gaya tha. Assistant Executive Officer janab Irfan Shareef Function hall ke malkin janab MA Qadeer aur MA Aziz aur R Baradran neh intizamaa ki nigrani ki. Namaz e Zahar ke baad dosray ijlaas mein molana Hafiz Abdul rasheed Talah Nomani neh Fizayi o aadaab ziyarat roza nabwi? Madinah Munawwara par roshni daaltay hue Aazmeen ko mahswara diya ke woh is muqaddas tareen sarzameen par puray adab o ehtram ka muzahira karen aur apne kisi qoul ya feal ke zareya yeh zahir nah karen ke un se danista ya na danista tor par kisi qisam ki be adbi horahee ho .