Monday, May 20, 2024
HomeExclusiveHajj par gaye baghair bhi Hajj qubool ho sakta hai

Hajj par gaye baghair bhi Hajj qubool ho sakta hai

Hyderabad: Ye to tye hochuka hai ke is saal Saudi Arab se baher ke loog corona ki wajah se Hajj nahi kar sakenge. Shayed Allah taala Hajj par nahi jaany waloun se kuch aur kaam lena chahta hai. Kitnay khush naseeb hain wo loog jo Allah taala ke iss isharay ko samajh saken. Aur qabil e mubarakbaad hain wo loog jo iss isharay ko samajh kar Hajj par gaye baghair Hajj ka nah sirf poora poora ajar balkay is ki qabuliat ka bhi andia haasil karlen.

Hazrat Abdullah Bin Mubarak jo doosri sadi hejri ke azeem muhdasen mein shaamil hain, Bukhari aur Muslim ney bhi un se kayi rivaytain haasil ki hain. Ye shehar Khorasan se talluq rakhtay they in ka ek waqea Sheikh Fridaldin Attaar ney tazkara Aoliya safha 123 par bayan kiya hai. Ye woai Attaar hain jin ki tasneef Mantak Al-Teer aalmi shohrat Yafta kitaab hai jis ka Urdu tarjuma ”Parendo ki Mehfel “ Qadeem urdu adab ka ek ahem sarmaya hai . Ye bhi shehar khorasan se talluq rakhtay they. Hazrat Abdullah Bin Mubarak ek martaba Hajj se faraghat ke baad Beet-Ul-Allah mein sogaye, Aur khawab mein dekha ke 2 farishtay baat kar rahay they ke is saal 6 lakh loogoun ney Hajj kiya lekin kisi ka Hajj qubool nahi huwa, Lekin Damascus ka ek mochi jo Hajj mein shareek to nahi ho saka, Lekin Allah ney is ka Hajj qubool farma kar is ke tufail tamam Hajjion ka Hajj qubool farmaliya. Ye baat sun kar hazrat Abdullah Bin Mubarak is mochi ki talaash mein Damascus nikal pade . Kisi terhan uss se mulaqaat hogayi. Mochi ne apna waqea kuch is terhan bayan kiya ke ”30 saal se meri tamanna thi ke Hajj Beet-Ul-Allah ki saadat haasil karoon, Mein ne itnay saloon mein badi mehnat se 300 Dirham jama kiye they. Lekin ek din mere pados ke ghar se khanay ke pakwaan ki bohat achi khusbhoo anay lagi. Meri biwi jo haamila thi is ka jee chaha ke thoda sa usay bhi khanay ko meljaye. Mein padosi ke ghar gaya taakay kuch khana maang lon. Lekin is ne kaha ke wo khana aap ke khanay ke laiq nahi hai. Kyunkay 7 din se mein aur mere biwi bachay faqay se they, Mein ne ek murda gadha rastay mein dekha, Isi ka gosht le aaya, Aur pakaya hai “ Ye sun kar mein Allah ke khauf se laraz utha ke mere padosi faqay kar raha tha aur mujhe is ki khabar nah huvi. Mein ne apni Hajj ki poori raqam is ke hawalay kar di. Aur dua ki ya Allah , Shayed yahi teri raza thi ke mera Hajj is terhan ho, Is is ko to hi qubool farmane wala hai“. Hazrat Abdullah Bin Mubarak kehte hain ke farishtoun ne khawab mein jo kaha tha wo waqai sachhi baat thi, Allah taala  yaqenana qaza-o-qadar ka mulk hai. Kisi zaroratmand musalman ki madad karna waqai Hajj ke barabar hai“

Isi terhan ka ek aur waqea jo Maulana Abu Al Hassan Ali Nadwi ne apni ek kitaab mein likha ke Basheer Bin Al-Haris ek buzurag guzray hain. Un ke ek shagird ne aakar kaha ke ”hazrat, Hajj par jana chahta hon“. Unhoun ne poocha ke kiya ye tera nafil Hajj hai? Is ne kaha haan. Phir hazrat ne poocha ke tairay paas zaad raah kiya hai? Shagird ne kaha ke 2 hazaar dinar. Hazrat ne kaha ke kiya mein tujhy ek aisa tareeqa bataon ke tera maal bhi kharch hojaye aur Hajj par gaye baghair nah sirf tera Hajj qubool hojaye balkay tujhe Hajj ke qabuliat ki tamaniat bhi haasil hojaye? Shagird ne baday Ishtiaq se kaha ke zaroor bataye. Hazrat ne farmaya ke ye maal to gareeb aur misakin mein takseem kardey, Aur agar tera jee chahay to kisi 1 shakhs ko jo akseriyat Alaayal ki wajah se pareshan hai is ko is ke paon par khada kardey. Ab bata kiya chahta hai? Shagird bohat der tak soch mein padh gaya aur kehnay laga ”nahin hazrat ab tabiyat Hajj par mael hai “ ( Yani Hajj ka mood ban chuka hai ). Ye sun kar hazrat ne farmaya ”Shetan burayee ke zariye hi nahi balkay neki ke bahanay bhi nafs par qaboo palita hai“

Aaj Allah taala ne ek aisa mauqa peda farmaya hai ke jo loog is saal Hajj par nahi jasakay wo Damascus ke uss mochi ka bhi maqam haasil kar saktay hain jis ke Hajj par gaye baghair is ka Hajj bhi Allah taala ne nah sirf qubool karliya balkay is ki wajah se jitne haji is saal Hajj par aaye they uskay tufail un tamam hajion ka Hajj bhi qubool farma lega. Coronavirus aur lockdown ne musalmanoon hi ki nahi har zaat ke insanon ki Economy tabah kar di hai. Lakhoon loog Migration mein mutasir ho chukay hain. Gharon mein jawan beta baithi hain jin ki shadian namumkin hochuki hain . Sarkari dawakhane nakara saabit ho chukay hain. Private dawakhane lakhoon rupiya wusool kar rahay hain jin ki wajah se ghareeboun ko aur yeedi ragar ragar kar marnay ki nobat hai. Rooz ka ghalla khareed kar khanay walay mazdoor, Auto walay, Taxi walay, Mechanic aur thelay walay  bheeg mangnay par majaboor hain. Kayi Madrsoun ke asateza, School ke teacher aur aisi hi mamooli nokryan karne walay be shumaar loog tankhwahin nah milnay ki wajah se bhukay hain lekin apni izzat ki khatir kisi se keh nahi paate. Aur khuda jaanay abhi is corona ke khatam honay tak kiya kiya honay wala hai. Agar ye Hajj ka paisa un zaroorat mandoon ke kaam aajay. Bhallay poora paisa khairaat nah karen, Ye to kar saktay hain ke logon ko teen chaar mah ke liye karzz day satke hain. Yaqeenan loog karzz wapas nahi karte lekin aisa bhi nahi hai ke saaray loog wapas nahi karte. Be shumaar shareef loog aisay aaj bhi mojood hain jo karzz lautnay ki ahmiyat ko samajte hain. Ek Hajj par kam se kam 3 lakh rupiye ka kharch aata hai. Agar ye paisa teen chaar logoun ko karzz ke tor par day diya jaye to ek taraf un logoun ki zindagi aasaan hojaegi, Aur doosri taraf teen chaar mah mein jab aglay saal ke Hajj ki raqam jama karwanay ka waqt aaye ga is waqt tak ye pesey wapas bhi aajayinge Inshaallah. Is terhan har shakhs do do Hajj ke ajar ka mustahiq hojayiga. Ek to is saal ke Hajj ki niyat ka, Dosray kisi mustahiq ke kaam anay ka. Farmaya Rasool Allah ney ke jo bandah kisi ke kaam aata hai Allah taala farishtoun ko uss shakhs ke kaam asaan karne ka hukum deta hai.

Na sirf Hajj par jo nah jasakay wo balkay corona ki wajah se jitni shadioun ki dawatein aur barattain cancelled huvi hain, Jis ki wajah se kayi lakh rupiye ki bachat hochuki hai wo loog bhi un halaat mein bohat kuch kar saktay hain. Dulhan walay aur Dulha walay mil kar agar tamam cancel honay wali davatoun ka lakhoon rupiya ummat ke pareshan haal logoun mein khairaat ya karzz ke tor par day den to Musalmanoun ki gurbat o iflaas mein kami askati hai. Is se insaaniyat ki jo azeem misaal qaim hosakti hai is se lakhoon ghir-muslim Islam ki taraf mael ho saktay hain. Indonesia aaj sab se bada musalman abadi wala mulk hai. Pehlay wahan budh mat ki pooja hoti thi. Pooray mulk ne kis terhan Islam qubool karliya is ka ek ajeeb waqea hai. Arab ke tajir wahan apna maal le jaakar farokht karte they. Ek baar wahan bohat sakht qeht pada. Jab Arab tijarti qafiloun ki kashtiyan kinare lagen to wahan ke badshah ny pegham bheja ke is saal loog qeht ki wajah se bohat pareshan hain, Faqa kashi par majaboor hain, Aap loog kisi aur ilaqay mein jaakar apna maal farokht karlen. Arab Tujar ne mil kar faisla kiya ke hum loog ek behtareen naffa wala kaarobar karen ge, Aur sara maal Allah ke rastay mein bhukay aur pareshan haal logoun mein takseem kar dein ge. Badshah ko ye sun kar bohat herat huvi. Is ne tajer ko bulaya aur poocha ke ye kon sa mazhab hai jis mein tijarat ka ye anokha usool sikhaya hai. Jab Arab Tajar ny is ke samnay Islam ko pesh kiya to is ne fori Islam qubool karliya aur apne tamam hum watnoun ko Islam mein daakhil hojane ki dawat di. Aur is terhan pooray mulk ny Islam qubool karliya. Mashallah

Zara sochen, Ye Nafil Hajj aur umroon ka paisa, Ye shadioun aur baratoun ka paisa, Ye saalkiraoun aur Urs aur jalsoun ka paisa agar aaj Osmaan Ghanni aur Abdul Rehman ke tijarti maal se bharay aontoun ki kitaroun ki terhan ummat ki pareshani ke waqt ummat ke kaam aajay to ek baar phir Islam ka urooj wapas aasakta hai. Ek haji osatan 3 lakh rupiye kharch karta hai. Hindustan se delkh lakh hajioun ke 45 Arab rupiye bantay hain. Ek shadi mein agar oasatan 5 lakh rupiye bhi kharch hotay hain to kam se kam 4 lakh shadian har saal hoti hain . Agar ye saadgi se ho jaien to qoum ka 200 Arab rupiya bachta hai. Aur yahi qoum ke kaam aajay to kya aap andaza kar saktay hain ke ye qoum ki ikhlaqi, Educational, Economic aur siyasi takdeer ko kis terhan badal sakta hai? Lekin is rastay ki sab se badi rukawat wo shaytani waswasa hai ke aadmi kisi bhi naik kaam par is waqt tak kharch nahi karna chahta jab tak ke wo paisa is ki zaat par kharch nah ho. Agarchay Hajj, Umrah, Nikah, Walima, Roza rakhwayi, Khatna ke phool, Aqeeqa, Chehalum, Barsi, Urs , Roza Iftaari ki dawatein ye saaray neki ki niyat se hi kiye jatay hain, Un ke karne se sawab ka hi tasavvor kiya jata hai lekin un tamam kamoun ka mehwar zaat hai. Yani un tamam kamoun mein paisa aadmi ki zaat par, Is ki khwahisaat ki takmeel par, Is ki shohrat aur rakh rakhao ke izhaar par kharch hota hai. Kehnay ke liye saaray kaam naik aur sawab ke hi hain lekin agar un kamoun mein aadmi ki zaat ke itminan par ye paisa kharch nah hoto wo hargiz kharch nahi karta. Hajj ke muamlay mein bhi logoun ki aksariyat apni zaat ke khushii aur itminan ke liye kharch karti hai. Raah e Elahi dainay mein nah koi neki nazar aati hai, Nah koi naam hota hai. Sara paisa gumnamee logoun mein chala jata hai is liye loog apni zaat ko ahmiyat dete hain. Qoum jaye bhaad mein. Un ko qoum se dilchaspi nahi hoti. Kher ye to jahiloun ka rovayya hai hamesha se hai hamesha rahay ga. Agar chand loog bhi is mazmoon ki ahmiyat samajh jayen aur amal karlen to un ki to akhirat inshallaha shandaar kamyabi se hum kenar hogi.

Dr Aleem Khan Falki
9642571721
Sadar Social Reform Society, Hyderabad

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same does not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.