Mecca Mukarramah: Hajj ke rukan-e-aazam waqoof Arafat ke liye duniya har se aaye hue Lakhoun aazmeen Hajj ki maidan Arafat mean aamad ka silsila jari hai. Saudi arab mein fareeza Hajj ki adaigi ke liye aaye hue taqreeban 25 laakh aazmeen Talbiah padhte hue Mina se maidan-e-Arafat pohanch rahay hain, guzishta roz Mina mein qiyam ke baad aazmeen aaj subah 9 Zillhajja se maidan-e-Arafat rawana ho rahay hain, jahan woh Hajj ka, rukan-e-aazam waqoof Arafat ada karenge.
Waqoof Arafat ke douran maidan-e-Arafat mein waqay masjid-e-Nimrah mein Imam sahab se Hajj ka khutba sunenge. jiske baad Zohar aur Asr ek sath ada ki jayegi. Saudi arab ki tareekh mein pehli baar aazmeen Hajj teen roz tak 3 khutbe sunenge. pehla khutba guzishta jummey ko suna gaya tha, dosra khutba aaj, yani khutba-e-Hajj hoga, aur teesra khutba kal namaz-e-Eid-ul-azha ka suna jayega.
Aazmeen Hajj ghuroob-e-aftaab tak maidan-e-Arafat waqoof karenge. yahan woh Ibadaat Karenge zikar wo azkar mein masroof rahenge, aur Allah ke huzoor gidh-gidha kar duayen mangenge. Sooraj ghuroob honay ke sath hi maidan-e-Arafat se Muzdalifah rawana honge, jahan woh namaz-e-maghrib aur Isha ek sath ada karenge. aur Muzdalifah mein raat khulay aasman taley guzarenge aur Rami jamrat ke liye 70 Adad kankariyan chuninge. aur sunnat ke mutabiq aaraam bhi karenge.
Hujjaj-e-Ikram 10 Zilhajja ko namaz Fajar ada karne ke baad Sooraj tulu honay tak munajat karenge, woh Allah se gidh-gidh kar duayen mangenge. is amal ke baad Hujjaj-e-Ikram Jamra-e-Ukba ko kankariyan maarne ke liye Mina wapas ayenge aur mina mein haram ki janib waqay jamrat complex mein sirf badey Jamra yani badey shaitan ko 7 kankariyan marainge, aazmeen Hajj ki sahoolat ke liye Saudi hukumat ki janib se security ke ghair mamooli intizamaa kiye gay hain. –YTN STAFF