Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsHajj ke liye mehdood aazmeen behtar faisla: WHO

Hajj ke liye mehdood aazmeen behtar faisla: WHO

Geneva: Aalmi idaara sehat ( WHO ) ne mehdood Hajj se mutaliq Saudi faislay ki himayat ki hai. Aalmi idaara sehat ne kaha ke is saal Hajj se mutaliq Saudi Arab ka faisla khush aaind hai. Mehdood aazmin Hajj ki badolat coronavirus ke khatraat ko qaboo kiya jasakay ga.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq aalmi idaara sehat ke Director General Tedros Adhanom ne kaha kay Saudi Arab ne ye faisla coronavirus ki waba ke khatraat ka thos bunyadoun par jaiza le kar hi kiya hai. Saudi qayadat ke pesh e nazar Hajjion ki salamti, Tahaffuz hai. Inhen waba ke khatraat se  bajane ke liye aalmi idaara sehat ki muqarrar kardah hidayat ke ayen mutabiq kiya hai.

Aalmi idaara sahet ke Director General neh Geneva mein press conference ke douran kaha ke aalmi idaara sahet mehdood tadaad mein Hajj ke Saudi faislay ki himayat karta hai. Unhoun neh mazeed kaha hai ke tamam mumalik sahet aama ko apni tarjeehat mein isi terhan shaamil karen jis terhan Saudi Arab neh kiya hai.