Sunday, May 4, 2025
HomeTrending NewsHajj ke liye E Gate ke zareya Registration

Hajj ke liye E Gate ke zareya Registration

Riyadh: Saudi wizarat Hajj Umrah ney kaha hai ke Saudi shehrion aur muqeem ghair mulkioun ki Hajj ke liye Registration wizarat ke E Gate ke zariye hogi. Wazeh rahay ke Saudi hukoomat ki janib se mehdood tadaad mein mukhtalif mulkoun ke shehrioun ko Hajj ka mauqa dainay ke elaan par ye daryaft kiya ja raha hai ke is ka tareeqakar kiya hoga?

Website ke mutabiq Saudi wizarat Hajj o Umrah ne apne bayan mein kaha hai ke wizarat ke E Gate ke zariye Hajj Registration ka faisla hotay hi is ka baqaida elaan kardiya jaye ga. Mushtarqa National Platform ne Hajj ijazat naame ke ijra aur booking ka tareeqakar batatay huve wazeh kiya hai ke Saudion aur muqeem ghair mulkioun ko Hajj ijazat nama jari karwanay ke liye is tareeqakar ko apna na hoga.

Wizarat Hajj o Umrah ke E Gate ko visit karkay dakhli aazmeen ka E route ikhtiyar kiya jaye. Hajj saholatt ki fehrist par, Talabb Hajj, Booking ki darkhwast ka intikhab karna hoga. Shehar aur Hujjaj ki tadaad ka indraaj karkay Hajj package ka intikhab kiya jaye. Hajj Package ki tafseelaat dekh kar kisi ek ko ikhtiyar karliya jaye. Shanakhti Cards ke number aur paidaiesh ki tarikhoun ka indraaj kiya jaye aur phir Hajj package ki raqam sadad ke zariye ada ki jaye.

Wizarat Hajj o Umrah ne sarkari Website par ye bhi bataya hai ke aam afraad wizarat ke E gate ke zariye mukhtalif saholaten haasil kar saktay hain, E Gate 7 E khidmaat muhayya kar raha hai. Visitor E Gate ke tavassut se licence holdar dakhli malmin ka pata laga satke hain. Hajj ki booking kar saktay hain aur ijazat nama jari karsakte hain. E Gate ke zariye Hajj ijazat naame ki booking ki tafseelaat jaan satke hain. Ijazat nama mansookh karasakte hain aur guzashta Hajj mausam ki booking ki raqam wapas le satke hain.