Riyadh: Saudi wizarat Hajj o Umrah neh is saal online Hajj darkhwastoun ki karwai mukammal karli gayi hai. Mumlikat mein muqeem 160 mumalik ke shehrioun neh darkhwasten di hain. Website ke mutabiq wizarat Hajj o Umrah neh kaha hai ke di gayi darkhwastoun mein se muntakhib ghair mulkioun hi ko Hajj ki ijazat hogi. Saudi wizarat Hajj o Umrah un ghair mulkioun ke naamoun ki fehrist jari kere gi jo is saal Hajj ki saadat haasil karen ge.
Media ke mutabiq is saal 70 feesad haaji Saudi Arab mein muqeem ghair mulkioun mein se liye jayen ge. Ghair mulkioun ko SMS ke zariye mutala kardiya jaye ga. Yaad rahay ke aazmeen se Hajj darkhwasten online li gayi hain. SMS azemen Hajj ke Mobile number par taaruf bheja jaye ga.
Wizarat Hajj ne is se qabal muqeem ghair mulkioun se kaha tha ke jo is saal Hajj par jana chahtay hain wo online link ke zariye darkhwasten den. Darkhwastoun ki manzoori usooli hogi. Hatmi manzoori ke baad hi shumaar kiya jaye ga. Umeedwaroun mein se wohi Hajj par ja sakain ge jo sahet aur intizami zawabit par pooray utren ge.
Wizarat Hajj ke mutabiq Hajj ke liye sirf unhi umeedwaroun ka intikhab hoga jo lailaaj amraaz se pak hon ge. Jo coronavirus se pak honay se mutaliq laboratory test Certificate pesh karen ge. Jinhoun ney pehlay kabhi Hajj nahi kiya hoga. Jin ki umrein 20 se 50 ke darmiyan hon gi aur jo Hajj se qabal aur Hajj ke baad Quarantine ki pabandi karen ge.
Wazeh rahay ke is saal Saudi shehrioun mein se Hajj par sirf sahet amlah aur naye coronavirus se shfayab security ahelkar hi ja sakain ge. Un ka intikhab coronavirus se shifayad afraad ke record se liya jaye ga.