Riyadh: Saudi Arab ki hukoomat ne Ayyaam Hajj ke douran coronavirus ke phelao ku roknay ke peshِ nazar aazmin Hajj ke liye hidayat nama jari kar diya hai. Saudi Arab ki sarkari News Agency ke mutabiq Hajj ke douran aazmeen ke ijtima aur mulakatoun par pabandi hogi.
Saudi Arab ne guzashta mah elaan kiya tha ke coronavirus ke baais is martaba sirf chand hazaar muqami afraad ko hi Hajj ki ijazat hogi. Duniya bhar se lakhoon aazmin har saal Hajj ke liye Saudi Arab jatay hain. Saudi riyasat ke qiyam ke baad se ye pehla mauqa hai ke Hajj ko mehdood kiya gaya hai. July ki 19 tareekh se shuru honay walay Hajj ke liye Saudi Arab ke center for Diseases Prevention and Control ne peer ko ek hidaayat nama jari kiya hai jis ke mutabiq aazmin Kaaba ko haath nahi laga saken ge aur Hajre Aswed ko chone par bhi pabandi hogi.
Aazmin par lazim hoga ke wo manasekِ Hajj ki adaigi ke douran ek dosray se kam az kam daidh meter ka faasla rakhen. Hidaayat naame ke mutabiq aazmin namaz ki adaigi aur tuwaf kaaba ke douran bhi samaji doori ki ahteyati tadabeer par amal karne ke paband honge. Ayyaam Hajj ke douran Mena Muzdelafah aur Arfat mein sirf unhi afraad ko jaane ki ijazat hogi jin ke paas permit hon ge. Aazmin aur muntazmeen ko Masjid Ul Haram ke ilawa deegar muqaddas maqamat par bhi har waqt mask pehnana lazim hoga.