Riaz- Wizarat e Tijarat o Sarmaya kaari ney Hajj 1439H ke dauran Makkah Mukramah, Madina Munawwara, Mashaar e Muqaddisa mein tijarati marakiz wo khaney peeney ki ashya farokht karne wali mukhtalif dukanon par 23 hazaar se ziyada chaapay maaray. 1. 3 million ghair qanooni ashya zabt ki gayeen. 1700 se ziyada tijarati khilaaf varziyan record ki gayeen. Wizarat Tijarat ney sarifeen se appeal ki ke woh kisi bhi tijarati khilaaf warzi ke ilm mein aney par pehli fursat mein 1900 par rabita karen ya ” Balagh Tijari” application ya internet par Wizarat ki Website par mutala karne ki zahmat karen.
746 gumshudaa ashya Hujjaj ko wapas
Makkah Mukramah. Saudi Wizarat Hajj o Umrah ney imsaal Hujjaj ki 746 gumshudaa ashya wapas kar dein. Hujjaj karaam ke mukhtalif maqamat par chhootey barray bag gum kiye hue thay. Unhon ney reports bhi kardi theen. Wizarat e Hajj ney gumshudaa chhootey badey bag 25th August tak wapas kiye thae.
Canada ke Haji kay sath insaaf
Makkah Mukramah. Imssal Hajj mausam mein shareek judges ney Canada ke aik Haji ke haq mein faisla didya. Tafseelaat ke mutabiq Canada ke Haji ka qeemti samaan chori hogaya tha. Woh aik mualim se package haasil karkay Hajj kar raha tha. Khaimay mein wapas aaya to pata chala ke uski belt gayab hai. Jis mein 30 hazaar Riyal se ziyada naqad mehfooz thay. Visa Card, Canada ka shanakhti Card aur niji tasaveer bhi rakhi hui theen. Canada ke Haji ney mualim se shikayat ki. CC cameras ki madad se pata lgaliya gaya ke aik safai karkun ney Canadian ki raqam aur card chori kiye hain. Karkun ney apni karstani ki video dekh kar Iqbal e jurm karliya. Judge ney usay ibrtnak saza sunadi .
Makkah ke hotel mein Haji ney khudkushi karli
Makkah Mukramah- 60 sala Bangladeshi Haji ney Makkah Mukramah ke al Musfilah mohalla ke aik hotel mein khudkushi karli. Tafseelaat ke mutabiq Bangladeshi Haji hotel ke taharat khanah ki chhat se latka huwa paaya gaya. Dam ghutney aur oxygen munqita hojane par zindagi se haath dho baitha. Makkah Mukramah ki Police ney jaye waqooa ka muaina karkay ibtidayi report mein bataya ke Bangladeshi Haji ke jism par tashadud ka koi nishaan nazar nahi aaya bazahir khudkushi ka case lagta hai. Mutawafi ki na-ash sard khanaay mein mehfooz kar di gayi. Matlooba karwai mukammal karkay tadfeen amal mein layi jaayegi.