Friday, April 19, 2024
HomeSliderHajj 2021, Saudi arab behtareen intizamaa ke liye purazm

Hajj 2021, Saudi arab behtareen intizamaa ke liye purazm

Riyadh: Corona bohraan ke batadreej khatam honay ke sath jahan zindagi mamool ki simt gamzan hai wahein aalam islam ki nigehain Mecca Mukarramah par tiki hui hain kyunkay is martaba Hajj ki umeed ziyada qawi hochuki Hai aura aye din Saudi hukumat aur hajj intezamia ki janib se azaim se bhari khabroun ne bhi bandgan-e-towheed ke chehroun per umeed ke aasar ko ziyada kardiya hai.

Saudi arab se ab jo nai khabar masool hui hai is ke tehat Saudi wazeer Hajj wo Umrah Dr Saleh ne un azaim ka izhaar kya hai ke Saudi arab mojodi soorat-e-haal aur har tarhan ke challenges mein hajj intizamaa ki ahliat rakhta hai.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke corona bohraan ke douran saudi arab ke ke sarkari aur khangi idaron ne jadeed tareen technology ki madad se Umrah zaireen ki behtar khidmat injaam Di aur apni tamatar tar tawa naiya waqf kar dein. Dr Bintan hajj wo Umrah wo ziyarat forum ke ijlaas se online khitaab kya, yeh khitaab mojooda bohraan ke douran ek nai umeed ban kar samnay aaya hai. is ijlaas ka unwan corona se nimatnay aur hajj wo Umrah par waba ke asraat ko qaboo karne mein Saudi arab ki kamyabi rakha gaya.

Apne khitaab mein Dr bintan ne kaha hai ke wizarat hajj wo Umrah ne corona bohran shuru hotay hi ek laakh se ziyada Umrah zaireen ko madinah Munawwara aur 6 laakh se ziyada Umrah zaireen ko mecca Mukarramah may sahoolatein farahm ki.

Jis waqt saari duniya lockdown se pareshan thi is waqt yeh khidmat muqaddas masajid mein ki gayi. Saudi ne hajj mausam ka tazkara karte hue kaha ke wizarat ne hajj mausam 1441 ke douran panchwin rukan ki adaigi ke liye behtareen schemes tayyar ki theen. Saudi ne saabit kardiya ke Saudi arab har tarhan ke halaat mein hajj intizamaa ki salahiyat rakhta hai. kyunkay zaireen ki salamti ko yakeeni bananay aur hajj ki behtar andaaz mein adaigi ke liye jadeed tareen technology se istifada kya gaya.