Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaHajj 2021 ke liye sharait aur sahuliyaat ka elaan

Hajj 2021 ke liye sharait aur sahuliyaat ka elaan

Mumbai: Hifazat ke sath ibadat ke naaray ke sath markazi wazeer baraye Aqliati umoor aur Hajj Mukhtar Abbas Naqvi ne aaj yahan Hajj 2021 ki tafseelaat se mutala kiya aur kaha ke is martaba Saudi Arab ki jari kardah hidayat par amal kiya jaye ga kyunkay is se apni aur poori duniya ki sehat-o-salamati ka bhi khayaal rakhna hai. Hajj ke liye rawaangi aur wapsi ke marakis ki tadaad mein ahthyat ki wajah se kami kar di gayi hai jis ke baad ab sirf 10 Airports se hi zaireen ki aamad-o-raft hogi is ke bar aks maazi mein 21 Airports ki khidmaat dastyab theen.

Rawan baras Vijayawada ka izafi maqam ka imkaan tha lekin Corona wabaa ke sab kami gayi hai. Mumbai mein Hajj Committee Of India ke sadar daftar mein Hajj ke darkhwast Form aur Community ki hidayat ka ajra aur Union Public Service Commission ke imtehanaat mein kamyaab umeedwaron ki tehniyat ki taqreeb se khitaab kar rahay thay. Is mauqa par Mukhtar Abbas Naqvi ne mazeed kaha kay imkaan hai ke is baar aazmeen Hajj ki tadaad mein kami kar di jaye aur ek aazmeem Hajj ku Saudi Arab pounchanay ke baad kayi ghantay Qurantine mein rakha jaye ga jabkay rahaish gaah mein afraad ki tadaad bhi kam ki gayi hai. Mehram ke baghair Hajj par jane wali khawateen ke liye bhi sharait ka elaan huwa hai jabkay aazmeen ki omar ke baray mein bhi Saudi Arab ki hidayat par hi amal kiya jaye ga.

Yaad rahay ke Saudi Arab ne Coronavirus ke philav ko roknay ke liye jahan Umrah aur Hajj par pabandi ayad kar di thi is pabandi ko momlikat ne marhala waar khatam kiya hai jaisa ke ibtidayi do marahil mein Saudi Arab ke bashindon aur wahan muqeem bairooni mumalik ke afraad ko Umrah ki saadat ka mauqa faraham kiya gaya jabkay yakam November se Umrah ke liye bairooni mumalik ke zaireen ka bhi kher muqaddam kiya gaya. Is waqt Saudi Arab mein bairooni mumalik ke zaireen bhi Umrah ki saadat haasil kar rahay hain jis ke baad yeh umeed roshan hochuki hai ke Hajj 2021 mein hindustani bashindon ko bhi mauqa miley ga.