Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaHajj 2021, Coronavirus ke asraat par munhasir

Hajj 2021, Coronavirus ke asraat par munhasir

New Delhi: Hindustan mein aqliati umoor ke markazi wazeer Mukhtar Abbas Naqvi ne kaha ke Hajj 2021 Coronavirus ki waba ke pesh-e-nazar qaumi. Bain ul aqwami Protocol ke rehnuma hidayat par munhasir hoga. Yahan Hajj 2021 ke silsila mein jaiza ijlaas ki sadarat karte hue Naqvi ne kaha ke Hajj 2021 June July ke mahinay mein hona hai lekin coronavirus aur is ke asraat aur Saudi Arab aur hukoomat Hind ke awam ki sehat ka mukammal jaiza lainay aur rehnuma hidayat ki bunyaad par Hajj 2021 ka hatmi faisla liya jaye ga.

Unhoun ne kaha ke Hajj Committee Of India deegar Hindustani Agencies jald hi 2021 mein Hajj ke liye darkhwasten haasil karne aur deegar tayyariyan jald hi shuru kar dein gi. Hajj 2021 ki darkhwast aur deegar karwaiyon ke silsila mein Saudi Arab ki hukoomat ki janib se bazabta elaan kiya jaye ga. Unhoun ne kaha ke Corona waba ki wajah se rehnuma hidayat ko mad-e-nazar rakhtay hue Hajj intizamaa mein baday pemanay par tabdeeli ki ja sakti hai. Un mein Hindustan aur Saudi Arab mein rahaish, Traffic, Sehat aur deegar intizamaa shaamil hain.

Unhoun ne kaha ke Hajjaj karaam ki sehat aur tandrusti Corona ki wajah se hukoomat ki tarjeehat mein shaamil hai. Hukoomat hind aur deegar mutaliqa idaray is simt mein zaroori intizamaa karen ge. Hukoomat aur Hajj committee ne is silsilay mein zaroori karwai shuru kar di hai.

Unhoun ne kaha ke Hindustan sad feesad Digital Hajj intizamaa ka nateeja hai ke Corona ke sabab Hajj 2020 par na japane walay 1 lakh 23 hazaar logon ke 2100 crore rupay baghair kisi katoti ke DBT ke tavassut wapas kardiye gaye. Is douran Saudi Arab ki hukoomat ne bhi 2018-19 ke Hajjaj karaam ki aamad raft ka taqreeban 100 crore rupiya bhi wapas kardiya gaya hai.

Is ke alawa Naqvi ne kaha ke guzashta 3 barson ke douran Hajjaj karaam ke taqreeban 514 crore raqam bhi corona muddat mein wapas kar di gayi hai. Hindustan mein sad feesad Digital Hajj nizaam ka nateeja yeh hai ke waba ke daur mein bhi raqam barah-e-raast Account mein bhaije jati thi, Jo Hajj amal ki tareekh mein aisa pehli martaba huwa hai.

Hajj 2021 ki jaiza ijlaas mein wizarat aqliati umoor kay secretary PK Das aur deegar aala ohdedar, Wizarat kharja ke Joint Secretary Vipal, Wizarat shehri hawa baazi ke joint secretary K Mishra mojood thay. Is ke ilawa Saudi Arab mein Hindustan ke safeer Dr Ausaf Sayeed, Jeddah mein Hindustan ke qaim maqam consul general Y Sabir, Hajj Committee Of India ke CEO MA Khan aur mehakma sehat, AirIndia waghera ke ke ohdedaron ne Video Conferencing ke zariye is ijlaas mein hissa liya.