Riyadh: Saudi Arab mein Hajj security force ke commander major general Zayed Al Tuyan ne kaha hai ke is saal Hajj mausam ki tamam tayyariyan mukammal karli gayi hai. Unhoun ne Hajj ke douran sakht hifazati tadabeer ka elaan bhi kiya. Hajj security force ke commander ne kaha ke is saal mukhtalif mulkoun ke shehri mehdood tadaad mein fareeza Hajj ada karen ge. Unhoun ne mazeed kaha ke kisi bhi Saudi shehri ya muqeem ghair mulki ko ijazat naame ke baghair Hajj maqamat par jany ki ijazat nahi hogi. Khilaaf varziyan karne waloun ko sazayen di jayen gi.
Un ke mutabiq Novel coronavirus ki waba ke mahol mein hajjioun ki aman o salamti ko yakeeni bananay ke liye sakht iqdamaat kiye gaye hain. Hajj security force ke commander aur aman aama ke deputy director major general Zayed Al Tuyan ney kaha ke Hajj ke mauqa par curfew nahi lagaya jaye ga lekin security ohdedar Hajj ijazat naame nah rakhnay waloun ko Hajj maqamat par janey se roknay ke liye Mecca ke baher check posts par rokainge.
Media ke mutabiq major general Zayed Al Tuyan ney press conference ke douran kaha ke Hajj security force zaroorat padney par baaz ilaqoun mein lockdown ya baaz shaahrahoun ko band kar sakti hai. Unhoun nay kaha ke mazkoorah iqdaam is waqt kiya jaye ga jab kisi ilaqay se ghair qanooni tareeqay se Hajj par janey waloun ki bheed dekhnay mein aaye gi ya baaz shaahrahoun se hajash maqamat par darandazi ka silsila mushahiday mein aaye ga.
Agar kisi ghair mulki ya Saudi shehri ne Hajj maqamat par derandazi ki koshish ki to usay muqarara qanooni sazayen di jayen gi. Derandazon ko fori sazayen bhi di jayen gi. Un iqdamaat ka bunyadi maqsad sab ki salamti hai. Major general Zayed Al Tuyan ne kaha ke Hajj maqamat par baghair ijazat naame walay afraad ki derandazi roknay ke liye security force patrolling kere gi. Kayi nigaran idaray derandazi ko roknay ke liye khusoosi iqdamaat karen ge.
Unhoun ne Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun se Appeal ki ke wo is sal muqarara Hajj kote ki pabandi karen. Hajj road security Authority ney kaha hai Mecca ke atraaf tamam check posts mo-asar kar di hain. Mehakma passport ne phir intibah kia keh Hajj hidayat ki khilaaf warzi karne waloun par jurmane hon ge aur inhen qaid ki sazayen di jayen gi jo transport company license ke baghair kisi ko Hajj ke baghair le jaye gi usay saza di jaye gi. Yaad rahay ke Hajj maqamat mashaar Muqaddisa ( Mina, Arfat aur Muzdalifa ) mein dakhlay par pabandi ka nifas itwar se ho gaya hai jo 12 Zel Hajja tak jari rahega.