Monday, April 21, 2025
HomeIndiaHajipur esmatraizi aur qatal muqadma, Faisla 6 Feb ko hoga

Hajipur esmatraizi aur qatal muqadma, Faisla 6 Feb ko hoga

Hyderabad: Nalgonda mein ek muqami Fast Track adalat ne 6 na baligh bachoun ke sath zayad-ti aur qatal ke faislay ko 6 Feb tak multawi kardiya. Hajipur ke nabaligoun ke ahal khanah aur muqami logoun ne takheer par apne gham ka izhaar kiya kyunkay is muqadma ka faisla 27 January ko honay wala tha. Mutasirah khandanou ke afraad ne kaha ke hum faislay ka intzaar kar rahay hain aur faislay ke iltiwa ne hamaray intzaar ko mazeed taweel kardiya hai jo ke mayoos kun hai. Hum umeed karte hain ke kam az kam 6 Feb ko adalat apna faisla degi aur mulzim Marri Srinivas Reddy ko saza sunai gayi hai.

Hajipur mein mulzimoun ko sazae mout ke mutalbe ki wajah se hungama barpaa huva hai. Ek aur mutasirah ladki ki dadi ne kaha hum chahtay hain ke Marri Srinivas Reddy ko jald az jald saza di jaye. Is muqadma mein mulzim Marri Srinivas Reddy ko alla security ke darmain Nalgonda mein Fast Track adalat mein pesh kiya gaya. Usay 2015 se 3 kam sun ladkiyoun ki esmatraizi aur qatal ke ilzamaat ka saamna hai.

April 2019 mein ek 14 sala ladki ki laash ko police ne khushk kuvey mein bar aamad kiya tha jo School jaane ke baad la patah hogayi thi. Police ne baad azan daawa kiya ke mulzim ne deegar na baligh ladkiyoun ke khilaaf isi terhan ke 2 aur jurm mein aitraaf kiya hai. Chunkay is se qabal Fast Track adalat ne faisla peer ke roz tey kiya tha, Lehaza muqami afraad tenu ladkiyoun ke ahal khanah samait, Hajipur Grayam panchayat office ke qareeb placards leker jama hogaye they. Faislay ke liye un ka intzaar ek pareshani ka baais tha, Jo ab 6 Feb tak mokhar kardiya gaya.

‫Yaad rahay ke fast track adalat ne 3 na baligh ladkiyoun se esmatdari aur qatal ke mamlaat se mutaliq faislay ko 6 Feb tak multawi kardiya hai halaank Nalgonda mein fast track adalat ne 17 January ko samaat mukammal karli thi aur 27 January ko faisla sunanay ka elaan kiya tha lekin ab ye faisla Feb tak multawi kardiya hai. Bolaram police ne Srinivas Reddy ko giraftar kiya tha kyunkay is par is ke hi aabadi gaon Hajipur mein 3 na baligh ladkiyoun ki esmatraizi aur un ke qatal ka ilzaam hai aur is muqadma se mutaliq shawahid akhatta karne ke baad mulzim ke khilaaf muqadmaat darj karliye.

Police ne fast track adalat ke Judges Vishwanath Reddy aur Srinivas Reddy ke samnay Medical reports, Dahi afraad ke bayanaat pesh kiye aur 108 gawah pesh kiye aur un ke bayanaat qalamband karliye. Mulzim Srinivas Reddy ne judge ke samnay apne oopar lagaye gaye police ilzamaat ko be buneaad qarar diya aur is ke khilaaf pesh kiye gaye tamam shawahid ko mann ghadat qarar diya. Sarkari wakeel Chandrashekhar ne behas karte hue mutaliqa judge se mulzim Srinivas Reddy ko sazae mout dainay ki darkhwast ki thi. Chunkay koi bhi wakeel mulzim Srinivas Reddy ke haq mein behas karne ke liye agay nahi aaya tha jis ke baad qanooni Authority services ne Tigor ko bator difai wakeel muqarrar kiya.

Tigor ne Judges apna bayan dete hue kaha ke is ka moakil be qasoor hai aur police ne is ke moakil ke khilaaf adalat ke rubaroo jhutay ilzamaat pesh kiye hain. Adalat ne rawan mah ke 8 aur 17 tareekh ko dono wukla ke bayanaat sunay aur 27 January ko faisla sunanay ka elaan kiya tha lekin judge Vishwanath Reddy ne faisla 6 Feb tak multawi kardiya kyunkay muqarara waqt par faislay ki copian nahi padhi gayen. –YTN STAFF