Saudi Arab ki hukoomat aur niji idaray mil kar sab Allah ke mehmanon ke aaraaam raahat aur manasik Hajj ki adai mein un ki muawnat mein masroof hain. Aik falahi tanzeem ‘Hadiyat ul Haaj’ ne Hujjaj karaam ke liye aik nai sahoolat muta-arif karai hai. Tanzeem ki taraf se Hujjaj aur muatamarin ke liye 18 se 24 ‘Sleeping Capsule’ mobile kamray tayyar karaye hain. Hujjaj karaam manasik Hajj ki adai ke dauran inhen mukhtasir waqt mein sustaane ke liye istemaal kar satke hain.’Al Arabia.net’ ke mutabiq ‘Hadiyat ul Haaj’ ki taraf se muta-arif karaye gaye ‘sleeping Capsule’ ko ‘Hotel Gift’ qarar diya ja raha hai. Is tanzeem ka mousmi daftar mashaar Muqaddisa mein Hai jo Hujjaj aur muatamrin ko deegar kayi Services bhi faraham karti hai. Tanzeem ki sarparasti Wizarat Labour wo Samaji Behbood ke Director General Abdullah Bin Ahmed al-Tawi karte hain.’Sleeping Capsule’ aazmin Hajj ke liye Hajj ke mauqa par yeh apni noiyat ki aik munfarid sahoolat hai.’Hotel Gift’ teen murabba meter par mushtamil chhootey chhootey mobile kamray hain jinhein aik se dosray maqam par ba aasani le jaya ja sakta hai. Sheeshay, Plastic aur Fibre se tayyar kardah un kamron ko ‘Maqnateesi Chaabi’ ki madad se khoola aur band kya ja sakta hai. Un mein aik bistar bichaa hota hai jis ke sath aik takiya bhi hai, jab ke Sleeping Capsule ki androoni gunjaish 2.64 murabba meter aur oonchai 1.2 meter hai. Hujjaj karaam is mein aaraam karne ke sath kayi dosray ahem umoor bhi anjaam dey sakte hain. Is mein mobile phone charge karne, Suraj ki garmi se bachney, apni marzi ke mutabiq daraja hararat set karne aur pasand ki roshni ka ihtemaam karne ki sahoolat hai. In Sleeping Capsule ko aik dosray ke sath sath ya aik dosray ke oopar bhi rakha ja sakta hai. Is mein chadhne ke liye seedhi maujood hai jo balai Sleeping Room tak pahuncha sakti hai. Un kamron mein toilet, haath mun dhonay aur nahanay ki sahoolat bhi maujood hai. Tanzeem ke Director General Mansoor Al-Amr ne bataya ke aalmi sateh par is terhan ke mobile Sleeping Room Japan mein tayyar kiye jatay hain. Baaz dosray mulkon ke shehron mein bhi yeh sahoolat maujood hai.’Hadiyat ul Haaj’ ki taraf se pehli baar Hujjaj karaam ke liye yeh sahoolat haasil ki gayi hai taakay bohat ziyada rush ke auqaat mein aazmin ko kuch dair aaraam ki sahoolat faraham karna hai. Aik sawal ke jawab mein unhon ne kaha Hujjaj karaam ko yeh sahoolat mukammal taur par muft mein faraham ki jati hai, taham Japan se is ki daraamad par aik lakh Euro se zayed ke akhrajaat aaye hain. Al-Amr ka kehna tha ke fil-waqt rozana 60 Hujjaj karaam un Sleeping Rooms se istefada kar saktay hain magar un kamron ki tadaad badhaane ke nateejay mein un se istefada karne walon ki tadaad mein bhi izafah ho sakta hai.