Sunday, April 20, 2025
HomeSliderHaitham bin Tariq Oman ke naye Sultan

Haitham bin Tariq Oman ke naye Sultan

Muscat: Oman ke Sultan Qaboos bin al said ke intqaal ke baad unke chacha zaad bhai Haitham bin Tariq al said ko Oman ka naya Sultan banadiya gaya. Qatri nashriyati idaray Al Jazeera ki report ke mutabiq 65 sala sabiq wazeer Saqafat wo varsa nay Sultan Qaboos ki wafaat ke elaan ke chand ghanton baad hi Shahi khandan council ke samnay apne ohday ka halaf utha liya.

Report mein bataya gaya ke sarkari TV ke mutabiq hukkaam nay baghair iksi wazahat ke Sultan Qaboos ki janib se janasheen naamzad karne ke liye likha gaya khat khola aur Haitham bin Tariq ke naye hukmaran honay ka elaan kardiya.

Omani hukoomat nay twitter par elaan kiya ke Shahi khandan council ke ijlaas mein usay Sultan naamzad karne ka faisla kiya gaya jisay Sultan nay muntakhib kiya hai jiske baad Haitham bin Tariq nay mulk ke naye Sultan ki hesiyat se halaf uthaya.

Wazeh rahay ke Oman ke naye Sultan Haitham bin Tariq ko 2013 mein Sultan Qaboos nay Oman ki taraqiyati committee ka sarbarah naamzad kiya tha is ke alawa wo wazeer qaumi virsa wo Saqafat ke ohday par bhi Faiz they.

Qabal-e-azeen mashriq wasti ke sab se taweel arsay taq barsar Iqtidaar rehne walay rehnuma Sultan Qaboos alalat ke baais 79 saal ki Umar mein jummey ki raat intqaal kar gay. unki wafaat par 3 din ke sarkari sog aur 40 din tak parcham surangoon rakhnay ka elaan kiya gaya tha. wazeh rahay ke Sultan Qaboos badi aant ke cancer ke baais kaafi arsay se bemaar they.

Oman ki sarkari khabar-rasan idaray nay Sultan ki mout ki wajah ka elaan nahi kiya tha lekin woh taweel arsay se aleel they aur ek mah qabal hi Belguim mein zair-e-ilaaj reh kar watan wapas lautay they. ye reports ayen theen ke unke sogwaran mein koi janasheen shaamil nahi tha kyun ke woh ghair shadi shuda they jabkay na to unke koi bachay they aur na hi koi bhai tha. Sultan Qaboos nay ek aitedaal pasand lekin fa-aal kharja policy par amal pera hokar jazeera numa arab ko pasmandah se jadeed riyasat mein badal diya.

Saudi sarbarahi mein qaim gulf taawun council mein apni rukniat mehfooz banatay hue unhon nay aalmi taqaton ke Iran ke sath johri muahiday mein apna kirdaar ada kiya aur Oman ek behtareen saalis ke tor par samnay aaya. Sultan Qaboos ki wafaat aisay waqt mein hui ke jab tehran aur washington ke mabain kasheedgi urooj par hai jis mein Iraq mein irani general ki halakat ke jawabi hamlay ke nateejay mein islami jamhooria par nai pabandi laganay ka elaan kiya gaya tha. –YTN STAFF