Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsHagia Sophia Museum ko masjid mein tabdeel karne ka elaan

Hagia Sophia Museum ko masjid mein tabdeel karne ka elaan

Istanbul:  Turkey ke saddar Recep Tayyip Erdoğan ne kaha hai ke ab waqt agaya hai ke Turkey ki pehchan Hagia Sophia ki hesiyat ko tabdeel karte hue usay masjid banadiya jaye jisay museum mein tabdeel karna ek bohat badi ghalti thi.

Recep Tayyip Erdoğan ne habar television ko interview dete hue kaha ke ab Hagia Sophia ek museum nahi kehlaye ga balkay usay ab museum ki hesiyat se nikaal liya jaye ga, hum usay ek masjid kahinge. Turk-e-sadar ke bamuwajib ab jo bhi Hagia Sophia ka doura kare ga woh darasal Hagia Sophia masjid ka dora kare ga .

Khayaal rahay Europe aur asia ke darmiyan taqseem Turkey ke shehar Istanbul mein waqay Hagia Sophia mein musalman aksar tilawat quran karte hain aur bajamat namaz bhi ada karte hain taham is wajah se aksar istanbul mein mojood musalmanoon aur Issaiyoun ke darmiyan kasheedgi badh jati hai. esaiyoun ka maanna hai ke masjid ban’nay se qabal yeh tareekhi maqam pehlay church tha .

Is imarat ki secular haisiyat tamam mazahab se talluq rakhnay walay afraad ko ijazat deti hai ke woh yahan aakar chhutti sadi ke is azeem shahkaar  se lutaf andoz hosakin. Erdogan is waqt apni jamaat Justice And Development Party  aindah honay walay baldeati intikhabaat ke liye muhim chala rahay benawar unhon ne wazeh kiya ke woh Hagia Sophia se mutaliq baat cheet baldeati intikhabaat ke baad karenge taham waqt agaya hai ke Turke-e-awam ki khwahish par yeh qadam uthaya jaye. jab un se musalmanoon aur Esaiyoun ke darmiyan mumkina tanao  par sawal kiya gaya to unhon ne maqboza Bait-ul-Muqaddas mein yahudion ke liye banaye gaye temple ka hawalay dete hue kaha ke woh log musalsal Masjid Al Aqsa ko nishana bana rahay hain .

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF