Hyderabad : Riyasat Telangana ki tashkeel se qabal alehda riyasat Telangana ki maang karte hue riyasat bhar mein mukhtalif tareeqon ke zareya ehtijaj kiye jatay they, misalband, Rallies, Vanta varpu, khud kushi, shor sharaba, aur sadkon par khana banana, ya saqafati programme karna waghera, yeh sab alehda Telangana riyasat ki tehreek ka hissa they. isi tarzay per road transport corporation( RTC) ke mulazmeen isi tarhan ke hathkande ka istemaal karte hue ehtijaj kar rahay hain. aisa lag raha hai ke tareekh apne aap ko dohra rahi hai. KCR, jinki sarbarahi mein Telangana tehreek ney hikmat-e-amli ke tor par un tamam zarao ko istemaal kiya tha.
Itwaar ke roz, 48000 se ziyada RTC mulazmeen ney apne kumba ke hamrah ” Vanta varpu programm mein hissa liya. unhon ney sadak ke kinare khana pakaya aur wahein khana khaya. Is tarah ke manazair 2009 se 2013 ke darmiyan jari Telangana tehreek ki yaad dila rahay they. isi din khammam mein ek RTC driver ney, wazeer-e-aala ki janib se tamam hadhtaali mulazimeen ko Bartaraf karne ki baat ki to woh afsurdah hogaya aur khud ko band kar liya. is ke aglay din ek conductor ney hyderabad mein phansi laga kar khud kushi karli, kyun ke usay dosray padtali mulazmeen ki tarhan September ki tankhowa nahi mili thi. aur usay lone ki EMI bharna tha. –YTN STAFF