Tuesday, May 7, 2024
HomeExclusiveGuzishta 6 saal mein 90 laakh mulazimatoun ki griavat ,azad Hindustan ka...

Guzishta 6 saal mein 90 laakh mulazimatoun ki griavat ,azad Hindustan ka sab se manfi record

Hyderabad: Hindustan mein be-rozgari musalsal badhti hi ja rahi hai aur iske liye Modi hukoomat ko tanqeed ka saamna bhi karna padh raha hai. ek taaza report ne Modi hukoomat ke liye mazeed pareshani khadi kar di hai jis mein kaha gaya hai ke mulazmat khatam honay ki sharah guzashta 6 barson mein jo darj ki gayi hai woh azad Hindustan mein ab tak ki sab se ziyada hai. report mein bataya gaya hai ke mulk mein 6 saal ke andar rozgaar mein 90 laakh ki griavat aayi hai. yeh report azeem permji university ke center of stable employment ki taraf se shaya ki gayi hai.

Is taaza report mein wazeh lafzon mein likha gaya hai ke azad Hindustan ki tareekh mein aisa pehli martaba hua hai jab rozgaar mein is tarha ki giravat  dekhi gayi hai. adaad wo shumaar saal 12-2011 aur 18-2017 ke darmiyan ke hain. agar doosri tarha se dekhen to 12-2011 aur 18-2017 ke darmain har saal taqreeban 26 laakh logon ki mulaazmaten khatam hogayi hain. Santosh Mehrotra aur JK peerzadah ne center of stable employment ke liye is report ko tayyar ki ahae jis mein dono ne likha hai ke 12-2011 se 18-2017 ke darmiyan jumla rozgaar mein 90 laakh ki kami aayi hai. yahan yeh baat bhi qabil-e-ghor hai ke Santosh Mahrotra JNU mein shoba iqtisadiat ke professor hain jab ke jay ke peerzadah Punjab university mein padhatay hain.

Wazeh rahay ke kuch dinon pehlay CMIA ka surway aaya tha jis mein halaat kuch alag hi nazar aa rahay they. CMIA ke surway mein bataya gaya tha ke saal May se august ke darmiyan taqreeban 40 crore 49 laakh logon ke paas mulazmat thi jab ke guzashta saal isi douran 40 crore 24 laakh logoun ke paas mulazmat thi. yani CMIA ne pichlle saal ke muqablay is saal mulazimatoun ki soorat-e-haal behtar batayi thi. sath hi isne yeh zaroor wazeh kiya tha ke mulaazmaten bhedne ka maamla zaraat ke shoba mein samnay aaya hai. –YTN STAFF