Friday, May 10, 2024
HomeHyderabadGuzishta 24 barson mein 18 khawateen ko qatal karna wala mujrim giraftar

Guzishta 24 barson mein 18 khawateen ko qatal karna wala mujrim giraftar

Hyderabad: Hyderabad task Force ne guzishta 24 barson mein 18 khawateen ko qatal karne walay ek serial killer Ramulu iski 2 taaza tareen halakaton ke ilzaam mein Hyderabad task force ne giraftar kiya hai.

Mubayyana tour par is ne unhein compound may dosti karne ke baad qatal kardiya.

Hyderabad ke police commissionaire Anjani kumar ne tafseelaat batatay hue kaha ke 500 se ziyada CCTV cameron ke tajziye se iski giraftari hui. Iski biwi ne usay dosray aadmi ke liye chhorhdya tha jiske baad 45 sala Ramulu ke dil mein aurtoun ke khilaaf bughz paeda hogaya aur tab se ab tak is ne 18 khawateen ko qatal kardiya gaya hai.

Ramulu chori ki mutadid wardaton mein bhi mulawis tha. Police ne kaha ke jubilee hills ki 50 sala venkatama 1st January ko la-patah hogayi thi aur iske ahal-e-khanah ne ghumshudgi ki shikayat darj karwai thi. 4 January ko Ghatkesar ke Ankoshpur mein ek namaloom khatoon ki laash mili jiska chehra maskh kardiya gaya tha. Police ko khatoon ke qabzay mein ek mobile number mila jiski wajah se woh is ke ahal-e-khanah ko ittila di. Un se pooch gach karte hue police ne paaya ke venkatama aksar Yousufguda mein ek compound mein jaya karti thi.

CCTV footage ka tajzia karte hue police ne dekha ke khatoon ek aur shaks ke sath auto rickshaw mein sawaar horahee thi. Unhon ne mulzim ki shanakht Ramulu ke tor par ki aur usay giraftar kar liya. Is ne mubayyana tor par venkatama ko sharaab pilayi aur usay porle ankesh gaya jahan is ne usay maar dala aur kapray ka istemaal karkay iska chehra jalaya. Is ne chandi ki paazeb bhi chori karli. Police ko siddipet zila ke mulugu mein isi tarhan ka maamla daryaft hua.

Ramulu Cyberabad mein 13 qatal ke muqadmaat mein mulawis hai, jis mein is ne khawateen ko compound mein phansaya aur inhen halaak kiya aur unke zewraat loot liye. Is ne hyderabad mein teen aur medak mein 2 qatal bhi kiye. Raidurgam police station mein 2009 ke ek muqadmay mein usay Umar qaid ki saza sunai gayi thi. Ramulu institute of mental health, Erragadda ke jail ward se faraar hogaya tha. Usay ab Ghatkesar police ke hawalay kardiya gaya hai.