Tuesday, July 8, 2025
HomeIndiaGumshuda police ohdedar 15 saal baad mila

Gumshuda police ohdedar 15 saal baad mila

Gwalior: Jab koi shaks la-patah hojata hai to iske afraad khandan, Dost ahbaab aur Aziz vo aqarib iski ghumshudgi ki shikayat police mein darj karwatay hain aur police apni poori koshish ke baad gumshudaa shakhs ko ziyada ya murda daryaft kar hi letay hain haan is mein kabhi bohat taweel waqt bhi lag jata hai lekin aisa bohat hi kam suna jata hai ke koi police wala hi la patah hogaya aur 15 saal baad woh bhikari ke roop mein sathiyon police walon ko mila ho, aisa hi ek waqea Gwalior mein pesh aaya jahan ek police ohdedar 15 saal ghumshudgi ki zindagi guzaarne ke baad saathi police ohdedaron ko footpath par bhikari ki shakal mein mila.

Ek police ohdedar jo 15 saal qabal lapatah hogaya tha, usay is ke do sathiyoun ne yahan footpath par haadsati tor par paaya. zehni Badhaali se do-char, sardi se kampte hue, mukammal tor par muntashir haalat mein paaya. Deputy superintendent of police rintesh singh tomar aur vijay singh bahadur mangal ki raat shehar mein ek shadi khanah ke nazdik se gaadi mein jaar rahay thay ke unhon ne ek aisay shakhs ko dekha jo bhikari maalom horaha tha. woh buri tarhan kampte hue baen haath se khanay ki talaash kar raha tha. Yeh manzar dekh kar dono police ohdeadar gaadi se neechay utre aur un mein se ek ne usay apna garam jacket usay paish kiya. woh haeran reh gaye jab is shakhs ne inhen unke pehlay naam se pukara.

Media numaindon se izhaar-e-khayaal karte hue tomar ne kaha ke jab is shakhs ne inhen pehlay naam se pukara to woh kaafi haeran hue aur phir jald hi inhen ehsas hua ke woh koi aur nahi balkay unka sabiq saathi Manish Mishra raha jo 2005 mein Datiya mein inspector ke ohday par tainaat honay ke baad la-patah hogaya tha. Yeh waqea Gwalior ke crime branch ka hai. Tomar aur bahadur usay ek NGO ke zair-e-intizam ek panah gaah mein legaye jahan woh mazeed intizamaa honay tak kuch arsa qiyam karenge.

Unhon ne mazeed kaha ke Mishra ek achay athlete aur tez shooter thay jo 1999 mein hamaray sath police force mein shaamil hue. kuch saal baad zehni masail se dochar hue. Tomar ne kaha iske ahal-e-khanah ne unka ilaaj karwaya, lekin ek din woh la-patah hogaye. Hum aur unke dost ahbaab koshish karenge aur unka behtareen ilaaj karwaenge taakay woh dobarah woh mamool ki zindagi basr kar saken.