Monday, October 14, 2024
HomeSportsGulaabi gaind se Eden gardens mein Hind-Bangladeshi khiladiyoun ki mashq

Gulaabi gaind se Eden gardens mein Hind-Bangladeshi khiladiyoun ki mashq

Kolkata: Hindustan aur Bangladesh ke darmiyan 22 November se honay walay tareekhi day-night test se pehlay chaharshambe ke din Eden gardens par dono teamoun nay gulaabi gaind se practice ki.

Dono cricket teams mangal ko Kolkata pohanch gayi theen jahan woh apne cricket tareekh mein pehli baar Day night test khelnay utregi. Is match ko yaad gar bananay ke liye poooray shehar mein hi zabardast tayyariyan ki gayi hain, sath hi match ke liye Bangladesh ki Wazeer-e-Azam Sheikh Haseena ko madoo kiya gaya hai jo Hindustani Cricket Control Board ( BCCI) ke sadar Sourav Ganguly ki dawat par apni team ki hosla afzai ke liye yahan moujood rahengi.

Maheman Bangladeshi team ko subah 10 bajey se 1 bajey tak Eden gardens mein gulaabii gaind se mashq karne ka waqt diya gaya aur mezbaan hindustani team iske baad yahan practice ke liye utri. saal 2016 mein Eden Garden maidan par mohan bagan aur Bhuvanpoor ke darmiyan chaar roza gharelo match ka ineqad kiya gaya tha jo is maidan par gulaabii gaind se khela gaya pehla match tha. bengal cricket association ( CAB) ki taraf se munaqqid is match mein Mohammad Shami nay bagan ke liye khailtay hue saat wicket liye they.

Cricket mahireen ke mutabiq Eden Garden gulaabii gaind se match munaqqid karne ke liye poori tarhan se munasib maidan hai jahan dono hi teams pehli martaba is format mein khailnay utregi. kyoritr Sozin mukharjee nay kaha ke woh gulaabii gaind se is pitch par khailnay ke silsilay mein pur josh hain aur un ka khayaal hai ke dono hi teamon ko pitch par faida pohanchega. Unhoun nay kaha ke aam tor par yahan cricket laal gaind se aur mehdood over mein safaid gaind se khela jata hai lekin gulaabii gaind ke liye bhi eden garden ki pitch tayyar hai. BCCI ke cheif bhi pehlay gulaabii gaind ke muqablay ke liye shehar mein mojood hain aur unhon nay tayario aur pitch ka bhi jaiza liya.

Gulaabii gaind par ziyada roghan ki wajah is ke swing ziyada karne ki umeed hai aur fast bowlers ko is se faida mil sakta hai. dono teamon ke darmiyan pehlay match mein Mohammad Shami , Umesh Yadav aur Ishant sharmaa kaafi kamyaab rahay. Hindustan nay Holkar stadium mein pehlay match mein Bangladesh ko teen din ke andar inning aur 130 runs se shikast day di thi. Kohli ki qayadat mein maizban team 1-0 ki bartari ke sath utregi aur clean swipe karna chahaygi. Hindustan aur Bangladesh ke darmiyan do test matchon ki series ke dosray match ko day night fomat mein karwane ke liye Bangladesh cricket board ( BCB ) ki manzoori ke baad pehli baar khela jayega. muntazmeen ko bharosa hai ke match ke pehlay din stadium mukammal tor par nazreen se bhara rahayga aur taqreeban 68 hazaar shaiqeen ke mojood rehne ki umeed hai. –YTN STAFF