Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaGujrat Corona ke mareezoun ki tadaad mein tashweesh naak izafah se pareshan

Gujrat Corona ke mareezoun ki tadaad mein tashweesh naak izafah se pareshan

Ahmedabad: Gujrat ke Ahmedabad shehar mein COVID-19 ke mareezoun ki tadaad May ke aakhir tak badh kar 8 lakh hosakti hai agar mojooda char guna honay ki sharah is terhan rahi to mamlaat taizi se badh jayenge. Ek ohdedar ne kaha ab tak Ahmedabad shehar mein 1863 Coronavirus misbet waqeat Report huve, Jo Gujrat mein sab se ziyada hai. Ahmedabad Municiple Commissioner Vijay Nehra ne ek Video pegham mein kaha un mein se 75 mareezoun ki mout aur 105 deegar afraad ki baazyabi ke baad sargaram mamlaat ki tadaad 1945 hain. Nehra ne kaha uss waqt Ahmedabad mein Coronavirus ke mamlaat dugna karne ki sharah 4 din hai, Is ka matlab ye hai ke har 4 din mein mamlaat dugna hojatay hain. Agar ye sharah jari rahi to hamaray paas 15 May tak 50 hazaar aur 31 May taq 8 lakh ke qareeb mareez honge.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke hamara hadaf is sharah ko 8 din tak lana hai. Ye bohat mushkil kaam hoga kyunkay bohat kam mumalik ne aisa nishana haasil kiya hai. America aur Europe ke paas filhaal 4 din Doubling rate hai aur sirf janoobi Korea ne 8 din ki sharah haasil ki hai. Agar hum dugni sharah 8 din tak kam kar saktay hain to hamaray mamlaat 50 hazaar ke bajaye 15 May tak sirf 10 hazaar honge. Isi terhan, Corona mamlaat ka takhmeenah 8 lakh ki bajaye 31 May tak sirf 50 hazaar hoga. Nehra ne kaha hai ke Ahmedabad Municiple Corporation ka tareeqa ye hai aur hum behtar iqdamaat karte huve logoun ke taawun ki madad se is ko haasil karne ka pur etemad hain. –YTN STAFF