Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaGST muawza Fund ko dosray maqasid ke liye istemaal karna tashweesh-naak. SDPI

GST muawza Fund ko dosray maqasid ke liye istemaal karna tashweesh-naak. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party Of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne akhbaari aalamia mein Comptroller Auditor General ke tehqiqati Report ko tashweesh-naak qarar diya hai jis mein kaha gaya hai Modi sarkar ne GST muawza cess fund ko dosray maqasid ke liye istemaal kiya hai. MK Faizi ne kaha hai ke be imani aur ghalatiyan Modi hukoomat ki pehchan ban chuki hai. GST muawza cess Act 2017 ki daf-aat ke mutabiq pooray saal ke douran jama ki jane wali ki raqam ko GST muawza fund mein jama karna hota hai.

Reyaston mein GST nifaz ki wajah se is raqam ko sirf muashi nuqsaan ki talaafi ke liye istemaal kiya jasakta hai. Lekin ab Comptroller aur Auditor General ( CAG ) ki report ne inkishaaf kiya hai hukoomat ne GST se haasil ki gayi 42,272 crore rupiye ki raqam ko deegar ashya ke sath kharch kar rahi hai aur GST muawza Cess Act 2017 ke qawaid ki sareek khilaaf warzi ki hai. CAG ki inkishaaf ne ek baar phir yeh saabit kardiya hai ke markazi hukoomat kitni be imaan hai aur qanoon se kitni laparwah hai. Reyaston ko is fund mein un ke qanooni hissa se inkaar kiya ja raha hai. Dosray maqasid kelay itni kaseer raqam ka istemaal karne ke baad markazi hukoomat reyaston ko apne akhrjat poora karne ke liye qarz lainay ko keh rahi hai.

Markazi wazeer Nirmala Sitharaman ne guzashta haftay parliament mein kaha tha ke GST qanoon hukoomat ko GST muawza dainay ke liye Hindostan ke Consolidated Fund ( CFI ) ki raqam istemaal karne ki ejazat nahi deta. Yeh raqam GST se milnay wali fund zay se hi di ja sakti hai. Markazi wazeer ka yeh bayan CAG report ke is inkishaaf ke manafi hai, Markazi hukoomat ne is raqam ko GST muawza cess fund mein muntaqil karne ke bajaye usay CFI mein rakha hai. SDPI qaumi sadar MK Faizi ne mazeed kaha hai ke markazi hukoomat mulk ki maali hesiyat ke baray mein ghalat maloomat shaya karkay mulk aur awam ku dhoka day rahi thi. Jab se Modi sarkar ne markaz mein iqtidaar sanbhala hai tab se hi jamhoriat samait ek mohazab mulk ke saaray anasir tabahi se dochar hain. Ek aisa mulk jo muashi numoo mein sab se agay badh raha hai, Usay hukmaranon ki ek na ahal team ne zabardasti neechay ki taraf pouncha diya hai. Opposition partiyon ke arakeen ki ghair mojoodgi mein bills ko manzoor karkay jamhoori qanoon saazi ke bunyaady usoolon ko toda ja raha hai. Haal hi nafiz kardah zarayi bill kisaan mukhalif aur corporate ki himayat karne wala bil hai.