Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaGST ko farogh dainay Lottery ka awam ko lalach dainay par ghor

GST ko farogh dainay Lottery ka awam ko lalach dainay par ghor

New Delhi: Hukoomat GST nizaam ko mustahkam karne ke liye awam ko Lottery ka lalach dainay ka mansoobah bana rahi hai aur is ke tehat 10 lakh se ek crore rupay ke darmain Lottery offers pesh karne ka mansoobah bana rahi hai taakay kharidari karte waqt sarfeen ko Bill lainay ki targheeb miley. Markazi Board baraye Bill wasita Tax aur Custom ( CBIC ) ke rukan Jaan Joseph ne kaha ke Goods and Service Tax ( GST ) ke tehat har Bill sarfeen ko Lottery jeetnay ka mauqa faraham kere ga aur wo un ko Tax ki adaigi ke liye targheeb dilwai jaye gi.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke hum naya Lottery system le kar aeye hain. GST ke tehat har Bill ko inaam jeetnay wali Lottery Ticket samjha jaye ga. Quraa andazi ki jaye gi aur loog kahin ge ke 28 feesad ki bachat se kahin ziyada mere paas 1 crore ya 10 lakh rupay jeetnay ka mauqa hai. Ye sarfeen ke tarz amal ko tabdeel karne ka mansoobah hai. Lottery System ke mutabiq kharidari ka Bill portal par Upload hoga aur quraa andazi khud bakhud hogi aur khush qismat sarif ko aagah kiya jaye ga.

GST ke tehat, Samaan aur khidmaat par 5,12,18 aur 28 feesad Tax aed hai. Is ke alawa Tax ki alla sharah ke zamray mein aish o aaraaam aur umomi samaan shaamil hain. Wazeer khazana Nirmala Sitharaman ki zeere sadarat mein GST Council aur reyasti hum munsiboun par mushtamil team mujawaza Lottery scheme ka jaiza legi. Council Bills ke liye kam se kam had ke baare mein bhi faisla kere gi jo Lottery mein shaamil hon gi. Mansoobay ke mutabiq Lottery ke liye raqam Consumer Wellfare Fund se aeyegi.

GST mehsoolat ki vasuli ko badhaane ke liye aqdamaat tajweez karne ke liye hukoomat neh ahdedaroun ki ek committee tashkeel di hai. Panel ko ye kaam saump diya gaya hai ke wo GST mein nizami tabdeelioun ki tajweez kere jis mein Cheque aur Balance bhi shaamil hai taakay ghalat istemaal ki rokk thaam hosakay aur raza karana tameel ko behtar banaya jasakay. GST Council ke samnay 18 Decemeber ko pesh ki jaane wali is committee ki report mein wasail badhaane ke liye mustasna fehrist ki kami ka mashwara diya hai. –YTN STAFF