Sunday, May 12, 2024
HomeSliderGreen ke fit honay par Hindustan ke khilaaf Career ke aaghaz ka...

Green ke fit honay par Hindustan ke khilaaf Career ke aaghaz ka imkaan

Adelaide: Australiyai team ke coach justin langar ne ubhartay all rounder Cameron green Hindustan ke khilaaf series ke iftitahi day night match mein apne test career ka aaghaz karenge bashart e kay wo mukammal fit ho jaien halaanke coach longer ne jo brnz ki form se abhi tak inkaar nahi kiya hai, agar green mukammal fit nahi hotay hain to vade mumkina opener ki hesiyat se team mein shaamil kiye jasaktay hain jo ke brnz ke sath ining ka aaghaz kar saktay hain.

Green ko gulaabii gaind ke warm up match mein Jasprit Bumrah ki gaind sir par lagnay ke baad masail ka samna raha hai. Green ki jagah khail ke naye qawaid ke tehat badla gaya aur is waqea ke baad se cricket Australia ke tibbi amlay ne green ki nigrani ki hai. Langer ne kaha agar green fit hojata hai to woh zaroor khailayga. Aaj subah is ka ek aur test hua jis par hamein khushkhabri mili. woh ba-salahiyat nojawan hai, zahir hai ke ek umdah hunar ka maalik bhi hai, isne apni karkardagi ke zareya intikhab ka haq haasil kya hai. Ek aur faisla jo meezban team ko karne ki zaroorat hai woh yeh hai ke aaya opener brnz par etemad karna hai. Jo is season mein no inning mein 62 runs bananay mein kamyaab raha hai. woh ek bohat acha khiladi hai, aap raton raat apna hunar nahi ganwaa dete, woh yeh bhi samjhta hai ke runs kisi bhi khiladi ke liye sab se badi currency ya qader hain.

‫Adr hai ke australiyai team ko jarehana aur tajurbah car opener david warner ke zakhmi hokar team se bahar honay se shadeed masail ka samna hae kyunkay unhon ne Hindustan ke khilaaf series ke ibtidayi 2 ODI muqablon mein captain aaron finch ke sath team ko shandaar shuruvaat fraham ki thi jiski badolat maizban team ne ibtidayi  2 muqablon mein kamyabi haasil karte hue series par qabza kiya tha lekin zakhmi honay ke baad teesray ODI aur phir teen muqablon ki T20 series se warner ke bahar honay se Australia ko teesray ODI aur ibtidayi do T20 mein shikast ka saamna karna pada tha.