Friday, May 17, 2024
HomeSliderGrand Slam 2020 mein naya Champion hoga: Thiem

Grand Slam 2020 mein naya Champion hoga: Thiem

Sydney: Tennis ki aalmi darjah bandi mein chouthay maqam par fayez bohemian ne kaha hai ke naye saal 2020 mai naya Grand Slam Champion manzar aam par aeyega aur pehli martaba Novak Djokovic, Rafael Nadal  aur Roger Federer ke badal koi dosra khiladi khitaab haasil kerega. Guzashta baras Federer, Djokovic aur Nadal ki mukhtalif event mein hukmarani rahi lekin is douran Austria ke Dominic Thiem, Germany ke  Alexander Zverev, aur Greece’s ke  Stefanos Tsitsipas  ne nah sirf shandaar muzahirey kiye balkay khetabat haasil karne ke ilawa big three ko bhi shikast di hai.

Dominic is waqt iftitahi ATP Cup  team event ke liye Sydney mai mojood hain aur wo is ke baad yahan androon ek hafta Melbourne mein shuru honay walay season ke pehlay Grand Slam Australian open mein bhi shirkat karenge. Is mauqa par ezhare khayal karte hue Dominic ne kaha ke nojawan khiladi behtar muzahiroun ke zareya big three ke qareeb poanch chuke hain aur ab wo waqt daur nahi ke ju kuch, Nadal aur Federer ki bajaye koi nojawan khilari Grand Slam khitaab haasil kere.

Unhoun ne mazeed kaha kay nojawan khiladioun ne pehlay hi big three ko guzashta season mein kaafi challenge diya hai yahi nahi balkay hum ne Masters  1000 ke marhala par aurATP Finals mein un khiladioun ko shikast di hai. ATP Finals mein khetabi muqaabla Dominic aur Stefanos Tsitsipas  ke darmain khela gaya tha jahan Dominic ko khetabi muqaabla mein shikast bardasht karni padi. Unhoun ne mazeed kaha ke hamaray liye aakhri marhala grand Slam hai jahan hamein big three ko shikast dainee hai aur mein samjhta hon ke 2020 mai ek naya grand Slam Champion manzar-e-aam par aeyega.

Dominic ne is umeed ka bhi izhaar kiya hai ke wo khud ko ba-hasiat grand Slam Champion bhi dekh rahay hain lekin kisi bhi kamyabi ki zamanat nahi di ja sakti kyunkay deegar nowjawanoun khiladi bhi grand Slam khitaab ke kaafi qareeb poanch chuke hain. Neez charoun grand Slam big three ke darmain taqseem hojaye is ki bhi ab zamanat nahi di ja sakti hai. –YTN STAFF