Tuesday, May 14, 2024
HomeHyderabadGraduation mein 70 feesad talba nakaam, Osmania University ke taleemi miyaar...

Graduation mein 70 feesad talba nakaam, Osmania University ke taleemi miyaar par sawalia nishaan

Hyderabad : Shehr-e-Hyderabad ki taleemi pehchan mein Osmania university ki ek munfarid shanakht hai jis ki ibtida urdu taleem se hui thi aur usay Jamia Osmania ke naam se jana jata tha lekin haliya dinoun mein is ke taleemi miyaar mein musalsal giravat dekhi ja rahi hai aur un ki janib se munaqidah graduate imtehanaat ke jo nataij aaye hain is ne aik martaba phir university ke taleemi miyaar aur talba ke imtehanaat mein muzahiron par sawalia nishaan khada kar diya hai.

B.A, B.com B.sc aur B.B.S ke 70 feesad talba Semester imtehanat mein ka nakaam hue hain jabkay B.sc aur B.com ke pehlay teesray aur panchwin semester mein taleemi nataij aur bhi mayoos kin hain.

Do laakh talba jinhoun ne imtehanaat likhay they is mein sirf 70 hazaar talba hi kamyaab hue hain.

Osmania university ki degree ke pehlay, teesray aur panchwin semester mein 70 feesad talba kamyaab nahi ho paye hain jis se Osmania ke taleemi miyaar par sawal uthnay laga hai. rawan taleemi saal 2, 06, 424 talba ne imtehanaat diye they jis mein se sirf 70, 660 talba hi kamyaab ho paye hain. Osmania university ke aala ohde daaroun ne kaha hai ke pehlay semester mein 84,018, dosray semesters may 65 hazaar 507 aur isi terhan panchwin semester mein 56219 talba hi kamyaab qarar diye gaye hain aur maana ja raha hai ke wazeh tasweer is waqt samnay aayegi jab yeh nataij haasil honge ke kitney talba distinction, first division, second division aur third division mein kamyaab hue hain .

Osmania university ke nataij ka jo jo data faraham kiya gaya hai agar is ka tijziyati mutalea kiya jaye to andaza hota hai ke B.sc aur B.com ke bar aks B.A aur B.B.A ke talba ne kisi qadr behtar nataij haasil kiye hain. B.A ke pehlay semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 42.51 hai jabkay teesray semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 50. 05 aur panchwin semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 62. 02 hai. B.B.A mein kamyaab honay walay talba ke nataij ka tijzyati mutala karen to pata chalta hai ke pehlay semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 54. 72 hai, teesray semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 59. 29 isi terhan panchwin semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 56. 55 hai. B.com aur B.sc mein kamyaab honay walay talba ka feesad mazeed mayoos kun hai jaissa ke B.com ke pehlay semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 34. 64 hai. teesray semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 29. 63 hai aur isi terha panchwin semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 38.39 hai.

B.sc mein kamyaab honay walay talba ka feesad mazeed mayoos kon hai jaisa ke pehlay semester mein kamyaab honay walay tlba ka feesad 26. 58 hai, teesray semester mein kamyaab honay walay talba ka feesad 29. 28 aur isi terha paanch mein samajh kar mein kamyaab honay walay talba ka feesad 33. 64 hi raha. zaraye ne is taraf bhi tawajju dilae hai ke mayoos kin nataij ka talluq sirf Osmania university ke Musalman colleges ka hi nahi hai balkay deegar universitioun se Musalmah collegeoun ke nataij bhi aisay hi mayoos kun hain.

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF