Colombo: Sabiq wazeer difaa aur sabiq sadar Mahinda Rajapaksa ke bhai, Gotabaya Rajapaksa ne itwaar ke roz Srilanka ke sadaarti intikhabaat may kamyabi haasil ki, lekin wo jazeeray ke taqreeban tamam aqliati Tamil aur muslim soboun may haar gay. dopehar 12 bajey tak elaan kardah nataije ke mutabiq, Gotabaya Rajapaka ne Sinhala akseriyat walay junoobi azla may akseriyat haasil ki, taham, wo Tamil aksriyati khana jangi se mutasirah shumali soobah aur Muslim aksriyati mashriqi soobah may 65 se 70 feesad Vote le kar haar gay.
mashriqi soobah ke shumali azlaa ke 5 azlaa, Jaffna, Kilinochchi, Mullaitivu,Vavuniya Mannar, aur 3 azlaa Trincomalee, Batticoloa, Ampara. 3 dahaiyo tak jari rehne wali jang se ilaqu se Rajapaksa ko shikast hui. mashriqi soobah bi 21 April ko hone walay Easter Sunday ke khud kash Bomb dhamakoun ke ahem kaarkunan ka aabadi shehar tha, jis may 250 se zayed afraad ki jaane chali gayeen aur 400 se ziyada zakhmi hue.
Gotabaya Rajapaksa ne 4, 940, 849 ballots ke sath 51.41 feesad Vote hasil kiye, jabkey unke qareebi hareef ne Democratic Front ( PDF ) aur UNPK naib rehnuma Sajith Premadasa ne 4,106, 293 may se 42. 72 feesad Vote haasil kiye.
Mulk ke qanoon ke mutabiq sadaarti umeed waar ko Election jeetne ke liye 50 feesad ya is se zayed feesad haasil kar na chahiye. Gotabaya ko un ki jeet par mubarakbaad dete hue, ek bayan may Premdasa ne kaha ke ”oh fori tor par hukmaran United National Party ke naib rehnuma ke ohday se subukdosh ho jayenge.
Premdasa ne kaha ke “ek sakht jad-o-jehad aur hosla afzai wali intikhabi muhim ke ekhtataam par, may logoun ke faisle ka ehtram karta hon aur Srilanka ke satwein sadar muntakhib hone par Gotabaya Rajapaksa ko mubarakbaad pesh karta hon“.
Tamil aksriyati shumali subey may, zila Jaffna may 66 feesad raye dahindgaan ke sath Polling ki sharah 70 feesad ke lag bhag Record ki gayi. Sabiqa jung se mutasirah azlaa Kilinochchi may 73 feesad, Mullaitivu 76 feesad, Vavuniya 75 aur Mannar may 71 feesad raye shumari ki.
Srilanka may sadaarti ohday ke liye 35 umeedwaroun ne intikhab lada, lekin asal muqaabla dono mahaaz’ araiyo ke mabain mehdood tha. Gotabaya ek Retired fouji hain. –YTN STAFF