Florida : Cyber Technology ne aaj hamari zindagi ko kaafi aasan kardiya hai aur khaas kar safar ke masail ko Google map ne kaafi behtar banadiya hai.
Google map ke zareya manziloun ka sahih taayun, maqamat ka durust pata aur rastoun ka ilm bohat hi aasan hochuka hai lekin Google map se ab barson pehlay la patah hue afraad aur samaan ka pata lagana bhi aasan hochkahe lekin ek waqay mein 22 saal qabal la patah honay walay shakhs ka pata laga hai.
Google map ne lag bhag 20 saal se la patah shakhs ki ghumshudgi ka mo-amma hal kardiya. Google map mein ek jagah pani mein doobi car dikhayi di jis se 1997 se gayab 1 shakhs ki baqyat bar aamad hui hain.
Amrici media ke mutabiq 7 November 1997 ko Florida ke ilaqay se 40 sala william la patah hogaya tha. woh ek night club gaya tha aur wapas nahi aaya. bohat talaash ke baad yeh muqadma daakhil daftar kardiya gaya kyunkay mutwafi ka koi suraagh nahi mil raha tha. rawan saal 22 saal baad police ne kaha ke wellington ke ilaqay moon bay circle mein ek gaadi mili hai. yeh car ek talaab se mili hai jis mein ek insani dhancha hai aur tafteesh ke baad usay william ki baqyat qarar diya gaya.
Car ki nishandahi is waqt hui jab wahan ke afraad ne apna ilaqa Google map par dekha to inhen talaab mein ek car doobi hui dikhayi di. iske baad ek muqami shakhs ne apne drone se is jagah ka jaiza liya aur pani mein car ki tasdeeq ki jabkay is ne ilaqay ki intizamia aur police ko saari tafseelaat batayi.
Police ke mutabiq Google naqshay ki tasaveer mein car saaf dikhayi day rahi hai lekin 22 saal se kisi ne bhi usay mehsoos nahi kiya tha. police ka khayaal hai ke night club se wapsi par william ki gaadi be qaboo hokar talaab mein ja giri thi. baad azan police ne william ke ahle khanah ko bhi is saaray waqea se aagah kardiya hai. –YTN STAFF