Hyderabad. Qilah Golconda mein 15th August ko Yaum e Aazaadi ke mauqa par 10:00 bajey din Parcham kushai aur Parade ki munasibat se Golconda ke atraaf traffic ke munasib nazam ko yakeeni banaaney Hyderabad police ne traffic tahdidaat aayed ki hai jis ke mutabiq 15th August ko 7:00 bajey subah se 12:00 din tak Ramdev Guda se Qilah Golconda aaney wali traffic aam gadiyon ki aamad o raft band rahay gi. Ramdev Guda se Qilah Golconda mein dakhla ko Yaum e Aazadi ke mauqa par takreeb parcham kushai ke liye madoo kiye gay afraad ke liye 7:30 bajey subah taa 11:00 bajey din tak istemaal ki jayen gi jo A, B aur C Car Passes ke haamil hon ge. Secunderabad, Banjara Hills, Masab Tank, Mahdi Patnam ki taraf se A, B aur C car passes ke sath aaney walay tamam maduyeen se khwahish ki gayi ke woh barah Reti Bowli aur Nanal Nagar Junction se aagey badain aur baayen moud letay hue Balika Bhavan,Langar Houz Bridge, Tipu Khan Bridge, Ramdev Guda aur Makai Darwaza aur Qilah Golconda Gaate ki taraf badhne daayen janib moud len. Neechay utrney ke baad ‘A Car Pass’ holders ko chahiye ke woh apni gadiyaan Fort Gate ke samnay main road par yani Fatah Darwaza Road par park karen. Jabkay ‘B Car Pass’ ke haamil mehmanon se khwahish ki gayi ke woh apni gadiyaan Golconda Bus Stop par park karen jo Gate se 25 meter ke faasla par hai aur ‘C Car Pass’ ke haamil maduyeen Golconda Bus Stop ke qareeb right turn letay hue Football/Boys Ground par apni gadiyaan park karen. Tamam maduyeen jo D, E aur F Car Pass ke sath atay hain woh Qilah Golconda ko Gunmbadaan e Qutub Shahi (Banjara Darwaza) ki taraf se barah Sheikhpet Naala aur Toli Chowki ayen chunkay unhen Ramdev Guda aur Makai Darwaza se daakhil honay nahi diya jaye ga. ‘D Car Pass’ ke hamileen se khwahish ki gayi ke woh Priya Darshini School Golconda ke paas utar jayen aur apni gadiyon ko parking ke liye Indira Priya Darshini School ke andar bhaij den. ‘E Car Pass’ ke hamileen se khwahish ki gayi ke woh barah Gunmbadaan e Qutub Shahi agay badh kar Golf Club ki simt baen moud len aur Jammali Darwaza ki taraf dayen janib moud kar aur apni gadiyaan Owaisi/GHMC Play Ground par apni gadiyaan park karen. Jo Qilah Golconda ke Main Gate se sirf 600 meter ke faasla par hai. ‘F Car Pass’ ke sath muqam takreeb aaney wali gadiyaan yani aam logon ki gadiyon walon se khwahish ki gayi ke woh barah Langar Houz flayover ke neechay se aayen aur ‘U’ turn lein aur Fatah Darwaza ki simt jaany daayen janib moud le lein aur Fatah Darwaza ke qareeb HUDA Park par apni gadiyaan park karen. Sheikhpait aur Toli Chowki se aaney walay aam log apni gadiyaan Gunmbadaan e Qutub Shahi mein park karen. Un do muqamat se takreeb ke muqam tak pahonchaaney ke liye muft RTC buses par sawaar ho saktay hain. Wapasi mein bhi inhen yeh sahoolat muyassar rahay gi.
Taqreeb ke ekhtetaam par A, B aur C Car Passes ki haamil gadiyaan Makai Darwaza, Ramdev Guda Langar Houz waghera se wapas lautengi. ‘D Car Pass’ ki haamil gadiyaan barah Banjara Darwaza, Gunmbadaan e Qutub Shahi waghera se wapas lautengi. ‘E Car Pass’ ki haamil gadiyaan barah Bada Bazaar Fatah Darwaza ya Jamali Darwaza, Golf Club, Gunmbadaan e Qutub Shahi waghera aur Langar Houz waghera se bahar nikleen gi. ‘G Car Pass’ ki haamil gadiyaan yani aam log sirf apni parking ki jaghon se hi wapas lautenge. Tamam maduyeen se khwahish ki gayi hai ke aasaan shanakht ke liye woh apne mutaliqa Car Passes gaadiyon ke wind screen ke baayen janib numayan taur par chiaspaan karen. Mazeed bran un se khwahish ki gayi hai ke woh dawat nama par ki gayi sarahat ke mutabiq bar waqat pahonch jayen. Alawa azeen un se yeh khwahish ki gayi ke woh route par, gadiyon se utrney ke muqamat aur gadiyon ki parking ki jaghon par taayinaat Traffic Police amlah ke sath taawun karen. Secunderabad Parade Ground par bhi Yaum e Aazadi ki munasibat se traffic tahdidaat aayed ki gayi hain. Tyoli Junction par traffic ko Broke Bound aur NCC Junction ki simt mod di gayi aur Tyoli se Plaza aaney wali gadiyon par 8:00 bajey subah taa 10:00 bajey din tak tahdidaat aayed rahengi. Golconda ke Main Gate par Boarding ke liye maduyeen ke drivers ku talab karne public address system ki sahulat rahegi.