Hyderabad : Hyderabad ki tareekhi imarat Golconda ko hero ki mandi bhi kaha jata hai. qutub Shahi ehad ke baad nizaam ke dour may bhi yahan kayi heere paye jatay they jin ki qeemat crores rupaiyoun mein hoti hai aur ab America mein 253 sala qadeem form kar cities ney hyderabad ke mashhoor gulaabii heere ki nelamee ka elaan kiya hai jo New York mein 19 June ko hogi. is nelamee mein gulaabii heera jo ke 10.46 carat ka hai aur yeh Krishna ki kaan kinny ke douran haasil kiya gaya tha, is heere ko nelamee mein paish kiya jayega aur umeed ki ja rahi hai ke is ki nelamee se 1.5 taa 2.5 million dollar haasil kiye jayenge jo ke 10.4 aur aur 17.3 crore rupiya honge .
Is gulaabii heere se crores rupay ki aamdani ke alawa woh Golconda ke kaan kinny se haasil kya jaaney wala ek aur heera ”Diamond Portrati“ bhi nelamee mein paish kya jayega, yeh woh heera hai jo is daur mein mughal hukmraanon ke alawa woh maharajaoun ki janib se apne taaj mein istemaal kiya jata tha tha. is heere ke mutaliq bhi umeed ki jarahi hai ke is ki nelamee ke zariye bhi taqreeban ek million dollars ki raqam haasil ki jayegi. Golconda se dastyab honay walay hero ki nelamee ke alawa nizaam ke dour ki Maroof necklace bhi nelamee ke liye paish ki jayegi. nizaam ke daur ki yeh necklace bhi kaafi mashhoor hai kyunkay nizaam Parade ke douran is Necklace ko pehna karte they. jis mein mein 8 heere jadey hue hain is Necklace mein mojood Heeroun ko 10 taa 15 caret ki pemaiesh di gayi hai .
Is Necklace ke mutaliq bhi yahi umeed ki jarahi hai ke is ki nelamee se bhi taqreeban 1. 5 taa 2.5 million dollars haasil honge. mazkoorah nelamee mein sab se mehanga tareen heera ”Mirror of Paradise “ hai jo ke 52.58 caret ka heera hai. jis mein platinum ki rang bhi mojood hain jis ki qeemat taqreeban 7 taa 10 million dollar batayi ja rahi hai jo ke hindustani rupiyon ke aitbaar se 48 taa 69 crore rupay honge . –YTN STAFF