Thursday, June 12, 2025
HomeJurmGokul Chat aur Lumbini Park Bomb Blasts ka faisla 4th September...

Gokul Chat aur Lumbini Park Bomb Blasts ka faisla 4th September tak moakhar

Hyderabad. Hyderabad ke Amusement Park ‘Lumbini Park’ aur talan ki maroof dukaan ‘Gokul Chat Bhandar’ mein 11 saal qabal hue bomb dhmakon ka faisla jo aaj sunaya janey wala tha wo   4th  September tak moakhar kardiya gaya hai. Yaad rahay ke 25th  August 2007 ko shaher ke do muqamat Gokul Chat aur Lumbini Park mein dhamakay hue thae jin mai majmoi taur par 42 log halaak hogaye thae jabkay 50 se zayed zakhmi hogaye thae. Shaher ke deegar muqamat par mazeed do bombs ko nakara banadiya gaya. Shaher ke tafrehi muqam ”Lumbini Park” mein 25th  August 2007 ki shaam 7:45 bajey aik zor daar dhamaka huwa jis ke 5 minute baad hi qalb e shahar masroof tareen muqam Koti par Chat ki mashhoor dukaan ” Gokul Chat Bhandar” ke paas aik aur dhamaka huwa. Baadazan shaher ke do maqamat se do bombs ko bar-aamad kiya gaya aur unhen phatt padney se qabal hi nakara banadiya gaya tha. Un dhamakon mein marnay walay mukhtalif tabqaat se talluq rakhtay thae jin mein bachay, tulba aur khawateen bhi shaamil thae. Un judwan bomb dhmakon ka muqadma 27th  August peer ko Faisal honay wala tha. is khusoos mein Hyderabad Police ki Counter Intelligence wing ney aik muqadma darj kiya tha aur Mohammad Sadiq , Ansar Ahmed Badshah Shaikh, Akbar Ismail choudhry aur Syed Anique Shafeeq ko girftar karte hue adalat mein paish kiya gaya tha jo un dinon Cherlapallay Jail mein mahruse hain. Un charon ko pehlay Maharashtra ki ATS ney girftar kya tha jinhein baad-azan Transit Warrant par Gujrat muntakil kiya gaya tha. Fil-waqt woh  Cherlapallay Jail mein mahroos hain. Mulzimeen ke Wakeel Janab Shaikh Khalid ne bataya ke is muqadma ka aaj faisla sadir kiya janey wala tha taham faisla tehreeri taur par tayyar na hone ki wajah se moakhar kardiya gaya aur ab 4th  September ko yeh muqadma faisal kiya jaye ga.