Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaGogoi Rajya sabha ke liye naamzad, Ek aur heran kun faisla

Gogoi Rajya sabha ke liye naamzad, Ek aur heran kun faisla

New Delhi: Babri Masjid ka mutanazia faisla, Rafael Maamla, Assam mein NRC maamla aur Chief Justice ko RTI mein rakhnay jaisay ahem mamloun nahi faisla sunanay walay mulk ke sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi ab Rajya Sabha ke rukan hojayen ge. Wazeh rahay Ranjan Gogoi guzashta saal 17 November ko subukdosh huve they. Subuk doshi se ayen qabal unhoun ne ek taweel arsay se zair iltiwa Babri Masjid tanaza ka faisla sunaya tha aur Ram Mandir taamer ke liye rasta saaf kiya tha. Is faisla par kayi halqoun ki janib se sawal bhi uthaye gaye they.

Ranjan Gogoi ki qayadat wali Bench ne Babri Masjid par faisla sunaate huve maana tha ke Masjid ko kisi Mandir ku toad kar nahi banaya gaya tha aur Masjid todnay ke amal ku mujremana amal qarar diya tha lekin Ayodhya ki wo saari zameen jis par chagda tha wo zameen Mandir ke naam karne ka faisla sunaya tha. Is faisla ne sab ko herat mein daal diya tha lekin ab un ku Rajya Sabha mein bhejnay ke hukoomat ke faisla ne bhi sab ku heart mein daal diya hai. Congress ke rehnuma aur Karnataka ke sabiq Chief Minister ne hukoomat ke is faisla par sawal uthatay huve kaha hai ke hukoomat is se adliya aur mustaqbil ke Chief Justice ko kya pegham dena chahti hai.

 Ranjan Gogoi ki qayadat wali Bench ne hi Rafael jahaaz saudey maamla mein Modi hukoomat ko Clean chit di thi aur Congress rehnuma Rahul Gandhi ko Supreme Court ke bayan ko ghalat terhan se pesh karne ke liye intibah diya tha. Aaj pooray mulk mein jis NRC ki wajah se hungama macha huva hai aur is ki shuruvaat Assam mein huvi thi aur is NRC ki nigrani Justice Gogoi ki qayadat mein hi huvi thi.

Ranjan Gogoi Supreme Court ke un Senior 4 Judges mein bhi shaamil they jinhoun ne is waqt ke Chief Justice Deepak Mishra ke kaam karne ke tareeqoun par sawal uthaye they aur Hindustan ki tareekh mein pehli martaba Supreme Court ke Judges ne Press Conference karkay Supreme Court ke kaam karne ke tareeqa par sawal uthaye they.

Mulk ke Chief Justice ban’nay ke baad Ranjan Gogoi tanazeaat ka bhi shekar rahe. Un par sawal 2019 mein Supreme Court ki ek khatoon mulazim ne jismani istehsal ka ilzam lagaya tha jabkay baad mein is waqt Justice Bobde ki qayadat mein bani Committee ne inhien clean chit day di. Ranjan Gogoi  ke baad hi Justice Bobde mulk ke Chief Justice banay. –YTN STAFF