Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaGodavari mein kashti ulat gayi, mutadid afraad mutasir, Jagan , KCR aur...

Godavari mein kashti ulat gayi, mutadid afraad mutasir, Jagan , KCR aur Harish Rao ka izhaar-e-afsos

Amaravati : Mashriqi Godavari zila mein itwaar ki dopehar ko Godavari nadi mein ek chattaan se takaraane ke baad ek ”APTDC kashti” ke ulat jaaney se mutadid afraad ke doob jaaney ka khadsha hai. NDRF ki teamoun ney aaj shaam tak 27 se ziyada musafiroun ko bachaaya aur saat laashoun ko nikala.

Kamzor kashti mein safar karne walay 51 saiyaho mein se 29 saiyah Telangana riyasat ke they. jin mein hyderabad ke 12 aur Warangal  ke 17 aur deegar 30 afraad Vijaywada, vishakhapatnam aur Rajmundry se talluq rakhnay walay they. bachaaye gaye logon ko Rampachodavaram  ke aam hospital mein bharti karaya gaya hai.

Pichle kuch dinon se Godavari nadi mein pani bhar gaya hai aur itwaar ki dopehar ko jab yeh haadsa paish aaya, is waqt 5.13 laakh cusecs  se ziyada saelabi pani beh raha tha. Devipatnam ke paas Gandi Pochamma mandir se ek ahem sayahati maqam Papikondalu ke liye jaaney wali kashti ” Punnami  may 11 amlay ke members sameit jumla 67 afraad moujood they aur yeh Kachhuluru ke qareeb jaakar toot gayi.

Chief secretary LV subramaniam ne mashriqi Godavari ke zila collector Murlidhar reddy se hone walay is saanihay ki tafseelaat ka pata lagaya. chief secretary ney Hidayat ki ke kashti haadsay ka shikaar afraad ka pata laganay ke liye helicopter ka istemaal kiya jaye. police aur deegar imdadi teamon ney bachao ka kaam shuru kiya. Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala YS Jagan mohan reddy ne godavri mein pesh aane walay kashti ke is saneha par afsos ka izhaar kiya hai. aur ohdedaron ko hidaayat ki ke fori tor par bachao aur imdadi iqdamaat karen. unhon ne bachao wo imdadi kamon ke liye helicopter ka istemaal karne ki hidaayat di.

Telangana ke wazeere-e-aala K.Chandra Shekhar Rao ne Godavari mein paish aaye is kashti ke sanihay par gehray sadme ka izhaar kiya. unhon ne ghumzdaa khandano ke arkaan se izhaar-e-taaziyat kiya. is haadsay mein Telangana ke log bhi they. is liye unhon ne mutaliqa ohdedaron ko hidaayat ki hai ke woh unki aur unke ahal-e-khanah ki madad ke liye zurori iqdamaat karen.

Wahein Telangana ke wazeer T.Harish Rao ne bhi afsos ka izhaar kiya hai. unhon ne is saneha ke Mutasir Telangana ke logon ko Taiqun diya ke hukoomat inhen zurori madad degi. –YTN STAFF