Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaGoa ke Miramar par ada ki gayi Manohar Parrikar ki aakhri rusoom

Goa ke Miramar par ada ki gayi Manohar Parrikar ki aakhri rusoom

Panji (Goa): Chief Minister Goa aur Mulk ke sabiq Wazer-e- Difaa Manohar Parrikar ka 17 March ki shaam 6:40 bajey Goa ke ekkhangi Hospital mein intqaal ho gaya. Un ki Umar 63 saal thi.  Woh maazi mein chaar miyadoon ke liye Chief minister rahay they. Woh guzishta ek saal se cancer ke aarzah mein mubtela they. Aur zair e ilaaj they. woh Goa, Mumbai, Delhi aur New York ke Hospitals mein ilaaj kara rahay they. Manohar Parrikar cancer jaisay marz mein mubtela honay ke bawajood woh pichlle kayi mahino se ba-hasiat wazee-e-r aala apni khidmaat anjaam dey rahay they. Naak mein nali laga kar unkee kayi taswerain bhi Social Media par viral hori theen.

Jin dinon woh beh had bemaar they, tab woh Reyasti Assembly mein 2019-20 ka budget paish kar ney aeye they. Is douran unhon ney beh hadd yaqeen ke sath kaha tha ke ” mein josh mein bhi hon, aur hosh mein bhi hon. Techno Kherat se siyasat daan baney BJP ke ahem Leader Manohar Parrikar ki sahet guzashta do roz ke douran bohat bigaad gayi thi. Goa mein BJPaur Siyasat ke ek mazboot istaam rahay Manohar Parrikara IIT se parday they. Woh badi hi saadgi se jeeney walay Leader ke tor par pehchane ja te they.

Un ke pasmandgan mein ahliya ke ilawa do farzandan shaamil hain. Manohar Parrikar ke intqaal ki khabar par siyasi halqon aur Parrikar ke chahanay walon mein gham ki lehar dood gayi hai. Saddar Jamuriya e Hind Ram Nath Kovind, Wazir e Azam Narendra Modi, Congress Saddar Rahul Gandhi, Sameit Mulk ke mukhtalif Partiyon se talluq rakhnay walay mutadid aala qayideen un ke intqaal par ranj ka izhaar kar te huwe unhen khiraaj paish kar rahay hain. Unn ki saadgi, aur unn ki zindagi ke mukhtalif pheloun ko yaad kar rahay hain.

Manohar Parrikar 13 decemeber 1955 ko Goa ke Mapusa gaon mein ek Mutwast tabqe ke khandan mein peda huwe. Un ke waalid ka naam Gopal Krishan aur walida ka naam Radha Bayi hai. Unn ka poora naam Manohar Gopal Karishna Prabhu Parrikar tha. Parrikar ke ek aur bhai Avdhut Parrikar bhi hain. Unhon ney Loyola High School, Margao main taleem haasil ki. Phir unhon ney Secondary Education Marathi zabaan mein haasil ki aur phir 1978 mein Indian Institute of Technology (IIT) Bombay se (Metallurgical Engineering) ki degree haasil ki.
Saal 1981 mein unhon ney Medha Parrikar se shadi ki. Parrikar ke do betay hain. ek Utpal Parrikar aur dosra Abhijat Parrikar. Utpal ney Electrical Engineering mein US ki Michigan University se Graduation ki degree hasil ki hai. Jabkay Abijat Bussinesman mean hain.

Parrikar ko Mulk ki kisi riyasat ke Wazir e aala rehne walay Aysi pheli shakhsiyat honay ka aizaz mila, Jinhon ney IIT se Graduation kiya hai. 2001 mein IIT Mumbai ki taraf se inhen khusoosi sabiq taalib e ilm ke aizaz se nawaza gaya tha.

Parrikar ney kam Umar mein hi RSS ke parchark ki hesiyat se apne siyasi carrer ka aaghaz kya. Aur mukhtalif ohdon par Faaiz rahay.

1994 mein Bhartiye Janta Party ke Rukan e Assembly ke tor par muntakhib kiya gaya tha. Is douran woh November 1999 tak Assembly mein Oppostion Leader rahay. 2000 mein pheli baar Wazir e Aala banay. Unkaa daure Iqtidaar 2002 tak hi raha. 5 June 2002 ko unhen dobarah Wazir e Aala banaya gaya.  29 Junvary 2005 ko BJP ke chaar arkaan assembly ke aiwaan se istifa dainey ke baad unkee hukoomat aqliyat mein aagai thi. Manohar Parrikar ney daawa kiya ke woh aksariyat sabit karen ge taham feb 2005 mein aisa huwa bhi. Lekin baad mein kisi wajah se unn ku apna ohda chhorna pada. Aur Oppistion Leaders Pratap Singh Rane ko wazir e aala banaya gaya.

Bhartiye Janta Party ko Goa mein Barsare Iqtidaar laane ka sehra inhen ke sir jata hai. Is ke ilawa Goa mein Hindustani binalaqwami Film Festival ka ineqad aur kam az kam waqt mein ek bain-ul- aqwami satahe ka bunyadi dhancha khada karne ka sehra unhi ke sir jata hai. Dayanand Samaji so raksha Yujana, Mukhiya Mantri rozgaar yojana jaisi mukhtalif scheme ke nifaaz mein un ka khusoosi taawun raha hai. Yojana aaog aur India Today ki taraf se maazi mein karaye gaye survey ke mutabiq un ke daur Iqtidaar mean Goa ko musalsal teen baras tak Hindostan ki behtareen riyasat ka darjah mila hai. 2000 se 2005 tak, aur 2012 se 2014 tak ki muddat mein woh Goa ke Wazer e Aala rahay. Uttar Pradesh Rajya Sabha ke sabiq rukan rahay Manohar Parrikar ney hi 2013 mein Goa mein BJP ke Parliament Elections Seminar se phelay Wazir e Aazm ke ohda ke umeedwaar ke tor par Narendra Modi ke naam ki tajweez rakhi thi. 2014 mein markaz mein BJPki qayadat wali NDA ki hukoomat bani.

Manohar Parrikar Narendra Modi ki qayadat wali NDA hukoomat mein 2014 se 2017 tak Wazir e Difaa banaye gaye. Un ki muddatkar mein fouj ki jadeed kari ke liye kaafi kaam kiye gaye. One rank one Pansion aur difai kharidari ki tajweez ko sul jhanay ka sehra Parrikar ke sir hi bandhta hai. Sath hi sath Hindustani fouj ney Pakistan maqboza Kashmir mein Surgical Strike bhi un ke hi waqt mein ki thi. Manohar Parrikar ke Wazir e Difaa rehne ke douran hi fouj ke liye paanch hazaar crore aur fazaiya ke liye 9000 crore rupiye ke Ammunition kharidne ke contract par dastakhat huwe. Parrikar ke muddatkar ke douran hi Hindustan ney France ke sath Rafale jungi tayyarah ke liye Souda kiya.

Manohar Parrikar ek saadgi pasand siyasat daan they. Manohar Parrikar scooter se CMO ke liye nikal jaya karte they. mukhalfin bhi un ki saadgi ke qayal they.

Aakhir-kaar apni bemari se ladtay ladtay 17 March 2019 ko woh duniya se chal basey. Aap ko batadin ke Manohar Parrikar ki ahliya Medha Parrikar ki mout 2001 mein cancer ki wajah se hi ho gayi thi.

Goa ke Miramar par puray aizaz ke sath Manohar Parrikar ki aakhri rasoom ada kar di gayi. Parrikar ke betay ney inhen agni di. Un ke aakhri rasoom mein hazaron ki tadaad mein logon ney shirkat ki.