Saturday, April 20, 2024
HomeJurmGirftar muslim nojawan, adalat jald faisla sunaye : Dr Baseer

Girftar muslim nojawan, adalat jald faisla sunaye : Dr Baseer

All India muslim majlis ke qaumi saddar professor dr Baseer Ahmed Khan ne ATS ke zariye girftar muslim nojawanon par bomb bananay ke ilzamaat aed karne ke baray mein kaha ke is silsilay mein adalat jald faisla kere aur agar woh gunehgaar hai to saza miley aur be qasoor hai to rihayi ho. is ke sath hi unhon ne ATS se mutalba kya ke Ali garh muslim university ko bomb se urane ki dhamki dainay walay sadhu ko giraftar kiya jaye.

Unhon ne aaj yahan jari aik bayan mein kaha ke jab bhi is silsilay mein kisi ki giraftari hoti hai to usay dehshat gard banakar paish kardiya jata hai jab ke is baray mein faisla adalat kere gi lekin dehshat gardi ke ilzaam mein girftar bohat se muslim nojawanon ko kayi saal tak jail mein rehne ke baad adalaton ne saboot nah honay ke BAAD raha kardiya hai. is waqt tak un ki zindagi ke qeemti saal be qusoor honay ke baais barbaad ho jatay hain aur barri tadaad mein aaj bhi jailon mein band hain lehaza muslim majlis ka mutalba hai ke un muqadmaat ka jald faisla sunaya jaye kyunkay insaaf mein takhirko insaaf se inkaar mana jata hai.

Muslim majlis ne kaha ke isi ke sath hamara yeh bhi mutalba hai ke Ali garh muslim university ko bomb se urane ki dhamki dainay walay sadhu yati narsinga nand ko bhi ATS girftar kere taakay is ki ghair janibdari par sawal nah uthaya jaye. herat ki baat hai hukoomat ne to aisay fitnah per work security faraham kar rakhi hai.

Dr Baseer ne Bjp ki dohri policy par tanqeed karte hue kaha ke yogi aadtih nath ne –apne haliya interview mein sabiq hukoomat par yeh ilzaam lagaya hai ke bakol un ke is hukoomat ne dehshat gardi ke mulzimin ke muqadmaat wapas liye lekin khud yogi aur bjp ke kayi vziron par sangeen ilzamaat ke tehat dair muqadmaat ko yogi hukoomat ne wapas liya hai. kya yahi hai sab ka sath aur sab ka vishwas hai. Bjp ki jhoot par mabni policy ki wajah se is ke iqdamaat par shak hota hai.